Bharat samet duniya ke anya desho me muslimo dwara allah ke prati shraddha hetu Raamjaam ke pvitra mahine me roje rakhe jaate hai. Muslim samuday ke is pawan parv me Raamjaan ka mahina har muslman ke liye bahut adhik mayne rakhta hai.
RAMJAAN (Ramadan) KYA HAI –
Ramjaan ya Ramadan( Urdu, Arbi, Farsi ) Islamik Calender ka ye 9th month hota hai. Muslim ise bahut hi pavitra mante hai. Raamjaan shabad ek Arabik shabad hai jiska arth hai – “Chilchilati garmi ya Sukhapan”.
Manyata hai ki dil se allah ki bandgi karne waale har shaksh ki khawaispuri hoti hai. Raanjaan ke mauke par muslim samuday dwara pure mahine “Roza” rakha jaata hai. Roza rakhne ka vastav arth hai – “Sachhe dil se iswar ki ibadat karna”.
Roza har muslman aapni ichha se rakhta hai. Kisi par koi jor jabrdasti nahi hoti hai. Halaki bachhe, bimar, budhe, ya fir pregnant aaurto ko roza rakhne ki ijjajat nahi hoti hai.
ROZA KAISE RAKHTE HAI –
Ramjaan ke mahine me roze ke dauran muslim samuday me din bhar bhojan aur paani nahi grahan kiya jaata hai. Aur kisi tarah ki buri aadat jaise cigarette, tambaku aadi ka bhi sewan nahi kiya jata hai.
Roza rakhne waale rojedaro dwara surya uday se pahle bhojan, paani ya fir apni pasand ki har cheej kha sakte hai, Jise SUHUR ya SEHARI kaha jata hai. Jabki din bhar roza rakhna ke bad sam ko surya asta hone ke bad dobara se bhojan aur paani grahan kar sakte hai. Jise IFTAAR kaha jata hai. Muslim samuday me aisi manyata hai ki rozedar apna roza Khajur khakar todte hai. Aisa mana jata hai ki purane saamay me Allah ke dut ko khajur khakar apna roza todne ke liye kaha gya tha. Isliye tabse har muslman apna roza khujur khakar hi todte hai.
RAMJAAN KYU MANAYA JATA HAI –
Ramjaan muslman smuyad ka ek behad hi pavitra mahina mana jata hai. Ramjaan ka mahina khud par niyantran aur sayam rakhna hota hai. Manyta hai ki ramjaan ke mahine me allah sabke gunaho ko maf kar deta hai aur apne bando ko jannat deta hai.
Islaam me roze ka prachalan kafi purana hai. Islaamik dharm ke manyata ke anusar Mohammad Sahab ( Islamik Paigambar ) 610 bc me islaam ki pavitra kitab Kuran Sarif ka gyan hua tab se Ramjaan ko islaam me pavitra mana jata hai.
Ramjaan ka mahina “Id- Al -Fitr” se smapat hota hai, jise mithi eid bhi kahate hai. Yah din muslim smuday ke liye harsho-ullas ka hota hai. Is din sabhi saj-dhaj kar aur naye-naye kapde pahna kar masjid aur eidgaah me jaate hai aur waha khuda ka sukriya karte hai aur ek dusre ke gaale milkar badhai dete hai. Is din achhe achhe pakwaan bhi bnate hai. Is din ki khaas pakwaan Sewaiya hoti hai jo khas taur par eid-gaah par hi bnayi jaati hai.
Mujhe umeed hai apko ye article Raamjaan ke baare me padh kar jarur achha lgage. Aur kisi tarah ki jankari ke liye aap hame comment me puch sakte hai.