Close

PASSPORT KE RANG AUR USAKE POWERS ?

Passport

Passport ke baare me jyadatar log to jaante hi honge. Fir bhi aapko bata de kisi bhi sarkar dwara jaari sarkari dastawej hota hai jo kisi bhi vyakti ke antarrastriya ( international ) yatra ka praman aur uski rastriyata ( nationality) ki pahchan hota hai. Isake bina koi bhi person kisi dusre desh me yatra nahi kar sakta aur nahi waha rah sakta hai. Bina passport ke kisi dusre desh me rahna gair-kanuni hota hai, aur iske liye saja bhi bahut shakhat hota hai.

Waise to har desh ka apna hi passport hota hai. Par kya aap jante hai ki puri duniya me chaar (4) rang ke passport hote hai jinka itemaal hota hai aur ye rang hai Red(lal ), Blue(Neela) , Green(Hara) , Black(Kala), aur har rang ka kuch khas aur aalag matlab hota hai.

RED COLOUR – Red colour ke passport ka itemaal adhiktar European desho me hota hai. Russia, France, Poland, Netherland, Romania aur Germany jaise desh shamil hai. China me bhi red colour ka hi passport jari kiya jata hai. Isaka ek karan ye hai ki jin desho me samywaadi itihas raha hai waha par red colour ka hi passport chalta hai.

Red passport

GREEN COLOUR – Green colour ka passport jydatar Islamik desho me chalta hai. Jaise Pakistan, bangladesh, Indoneshiya, aur Morakko jaise desh shamil hai. Ek manyata yah bhi hai ki Islam dharam me Green colour ko behad hi pavitra mana jata hai isliye green colour ka passport hi jari kiya jata hai.

Green passport

Iske alawa kuch African desh bhi hai jaha sarkar dwara green passport jaari kiya jata hai, Jisme Naijiria, Burkina faso, Aivari coast, jaise desh shamil hai.In desho me green colour ko prakriti aur jiwan ka pratik mana jata hai.

BLUE COLOUR – Blue colour ko shanti ka pratik mana jata hai. Isake sath hi nai duniya( New World ) ka bhi pratik mana jata hai. Bharat, North America, South America, Australia jaise desho me nile rang ka passport hi lagta hai. Afghanistan aur fiji me halke nile rang ka passport lagata hai. Bharat ke nagriko ke paas blue colour ka passport hota hai jabki rajnayiko ke pass red aur sarkar ke kuch pratinidhiyo ke pass white colour ka passport hota hai.

Blue passport

BLACK COLOUR – Zambiya, Botswana, Burundi, Angola, Gabon, Cango, Malawi, desh ke logo ke paas bhi kala rang ka passport hota hai. Isake sath hi New Zealand ke bhi nagriko ke pass kale rang ka passport hota hai. Black colour New Zealand ka rashtriya colour bhi hai.

Black passport

Lekin kuch log aise bhi jinke liye alag tarah ka passport jari kiya jata hai. Jaise Rajnayiko, Sarkar aur unse judhe hue adhikariyo ke liye bhi alag tarah ka passport hota hai. Aisa isliye kiya jata hai taki passport ke alag -alag rang se us person ki mahatta aur uske power ko pahchana ja sake.

Bharat Me Bhi Teen Tarah Ke Passport Hote Hai -:

Indian passport

1 – Diplomatic Passport – Iska rang red hota hai, jo rajnayiko ke pass hota hai. Jaise IPS ya IAS ko diya jata hai.

2 – Official Passport – Jiska rang white hota hai, jo government ya unse judhe aadhikariyo ke pass hota hai.

3 – Regular passport – Iska rang blue hota hai, jo bharat ke aam nagriko ke pass hota hai.

To dosto yaha par hamne apko passport ke baare me sari jankari di hai. Umeed hai aapko ye article psand aayega aur kisi tarah ki jaankari ke liye aap mujhe comment kar sakte hai.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top