Close

4th Month Pregnancy Diet In Hindi- Kya Khaye aur kyu ?

4th month pregnancy

4th month pregnancy diet in hindi

Pregnancy ka 4th month suru hote hi pichhale tin mahino me jo bhi presaniya ho rhi thi wo is mahine me khatam ho jaati hai. Sath hi is mahine ke dauran maa aur bachhe ke liye kai mahatwapurna badlaw honge. Isake alawa garabhapaat ka khatra bhi kam ho jaata hai. Is mahine se ab maa aur bachhe dono ka vishesh dhyaan bhi rakhna padta hai.

Is month se bachhe ka saririk vikas hona suru ho jaata hai. Saririk ang jaise heart, kidney. lungs, aur haddiyo bnani suru ho jati hai. To aise daur me khan-paan par vishesh dhyan dena chahie.

4th MONTH PREGNANCY DIET IN HINDI – KYA – KYA KHANA CHAHIE

PROTEIN – 4th month suru ho gya hai to aise me protein dene waale pdartha ko apne aahar me shamil karna chahie. Egg, chicken, aur meat ye sabhi nonveg me prFotein ke achhe sadhan hai. Jabki Nuts, beans, daal, soyabean, ye sabhi vegtarian me protein ke best source hai.

protein

FIBER – Garbhavaasta ke dauran jaise – jaise bhroon bhadhata hai waise waise kabj ka bhi khatra badha jata hai. Esliye 4th month se hi fiber yukat aahar lena suru kar dena chahie. Fiber ki waale aanaj jaise daal, hari sabjiya, jai aadi ko apne aahar me shamil kare. Sabut aanaj vitamin B ke sath sath fiber ka bada srot hai ise bhi apne aahar me shamil karna chahie.

Fiber

FRUITS – Taaje falo me bahut sare vitamin, khanij, fiber aur paani ki bhi bharpoor matra hoti hai. Apple, Banana, orange, in sabhi faalo me vitamin bharpoor hota hai jisse apko labha milta hai. Faalo ke sath sath faalo ke juice ka bhi sewan kiya jana chahie jisse body me energy bhi bani rahti hai.

Fruits

MILK & MILK PRODUCTS – Garbhavaastha ke 4th mahine me aapke bachhe ka vikas teji se hota hai. Isliye is dauran aapko calcium ki jyada jarurat hoti hai. Aapko dudh aur dudh se bane padartho ka jyada sewan karna chahie taki aapka aur aapke bachhe ki haddiyo ko viksit karne me madad karta hai.

Milk Products

VEGETABLES – Broccali, shaljam, gajar, phoolghobhi, hari pattedar sabjiya aapko aavaskyak vitamins chahie jo aapko 4th month me chahie. Pattedar sabjiya, palak, methi sarso aapke aahar me niymit hona chahie. Tamatar, gaajar aadi ko bhi apne aahr me shamil karna chahie.

Vegetables

NUTS & DRIED FRUITS – Pista, akharot, baadam, nuts, khajur, anjir aise hi dry fruits jo vitamins, calcium, iron se bharpoor hote hai unhe bhi apne diet me shamil kar sakte hai.

Dry fruits

VASA- AML – Apko aur aapke bchhe ko garbhaawastha k dauran aahar me jaruri vasa ki bhi aavashkyata hoti hai. Samay se pahle bachhe ko janam dena, wajan ka kam hona, in sabhi presaniyo ko kam karta hai.

4th MONTH PREGNANCY DIET – KYA NAHI KHANA CHAHIYE

Caffeine: Agar aapko chai ya coffee pine ki aadat hai toh, use avoid karne ki kosis kare. Dhyan rakhkhe ki aap din bhar me 200 mg se jayda caffeine na le. Yah jaruri nahi ki sirf chai aye coffee me hi caffeine hota hai aur bhi bhot si aise chije hai jinme caffeine paya jata hai jaise chocolates, cold drinks, soft drinks etc.

Caffeine

Alcohol: waise toh ham sabhi jante hai ki sharab pina sehat ke liye hanikarak hota hai khas kar pregnant mahilayon ke liye. Pregnancy ke time pe alcohol pine se samay se pahle delivery hone ka khatra badh jata hai aur iske sath-sath bacche ko kai prakar ki janm-jaat bima ari ho jane ka khatra bana rahta hai.

Alcohal

Tobacco: Mardo ke jaise kuch mahilayon ko tambaku khane ki aadat hoti hain aur kuch mahilayen smoking yani dhumrpan bhi karti hai. Shayad aapko pata na hon ye aapke bacche ke sehat ke liye utna hi hanikarak hai jitna ki aapke liye, isliye pure pregnancy ke dauran aapko aise chijo se door hi rahna chahiye.

Tobacco

Maida – Jaisa ki hum sabhi jaante hai ki maida hmare swasth ke liye bilkul bhi achha nhi hota hai. Adhikatar snacks jaise samosa, noodles, pizza, ye sabhi maide se hi bnate hai. Maida ko pachana bhi mushkil hota hai jisase kabj ki sikayat ho jaati hai. Isliye jyada maida khane se bachhe.

To in sabhi baato ko dhyan rakhte hue aapko apne pregnanacy me bharpoor khayal rakhna chahie aur hmesha khush rahna chahie. Sath hi samay samay par halke- fulke exercise bhi karna chahie jisse aap aur aapka bachha dononhi swastha aur khus rahe.

Aur agar koi aur jaankari chahie to hame comment me puch sakte hai.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top