Close

Baal Lambe Karne Ka Oil – Long Hair Tips In Hindi

BAALO KO LAMBA KARNE KE LIYE 10 BEST OILS:

Baal Lambe karne ka oil – saadiyon se baalo ko lamba karne ke liye, ayurved me alag-alag kesh tel ke bare me bataya gaya hai. Jinka pryog karke ap, baalo ko bhot jaldi lamba kar sakte hon.

Rozana tel lagane se humare balo ko poshan milta hai. Kyon ki oils me kaie prakar ke khanij, vitamins aur posak tatwa paya jata hai. Toh chaliye jante hai kon-kon se oil ka upyog kare jisse apke baal tezi se lambe ho sake.

1. Arandi ka tel (Use castor oil):

Arandi ka tel

Arandi ke tel ko brabar matra me jaitun, nariyal ya baadam tel ke sath mila kar. Apne baalo ki jado me rozana 25 se 30 minutes tak halka-halka maalish kare.

Tel acche se lag jane ke baad, use 10 se 15 minutes tak rehne dijiye. Uske baad koi bhi shampoo ka upyog karke apne baal dho lijiye.

Arandi ke tel me Fatty acid, vitamin E aur omega 9 Fatty acid paya jata hai. Joh apke baalo ko prakitik roop se badhne me help karta hai.

2. Nariyal tel (Coconut Oil):

Nariyal ka tel

Jyadatar log aam tor pe nariyal tel ka upyog karte hi hai. Agar ap nahi karte toh iska upyog karna shuru kar djiye. Kyon ki isme Carbohydrates, vitamins aur kaie tarah ke mminerals paye jate hai.

Raat ko sote samay ap isse champi ya massage kare aur subah uth kar apne baal dho lijiye. Ap ise shampoo karne se ek ghante pehle bhi laga sakte hai.

3. Til ka tel (Sesame oil):

Til ka tel

Baalo ke dekhbhal ke liye til ka tel bhot aasar daar hai. Kyon ki isme antiseptic gun hai, joh baalo ke gahrie me jakar rusi, ganzapan, sir me hone wale infection ko kam karne me help karta hai.

Daily is tel ko thode sei marta me use karne se seer aur baalo ka swasth accha rahta hai.

4. Jaitun ka tel (Olive Oil):

Jaitun ka tel

Aitun aur arandi ke tel ko brabar marta me mila kar. Halka gram kar lijiye fir 10 se 15 minutes tak apne seer me malish kijiye. Kuch der tak rakhne ke baad ap apne baal dho lijiye.

Jaitun ka tel balo ke jado me jakar majhbooti pradaan karta hai. Yah apke seer ka blood circulation bhi accha karta hai. Yah tel conditioner ka kaam bhi karta hai matlab iska upyog karne se baal soft aur mulayam ho jata hai.

5. Amla ka tel:

Aamla

Kaale ghane lambe balo ke liye amla best hota hai. Kyon ki isme vitamin C adhik marta me paya jatya hai. Joh ki apke balo ko sampurn poshan dekar use lamba karne me help karta hai.

Waise toh market me bhot sare amla tel mil jata hai. Lakin ise ghar me banaye toh jyada behtar rehta hai.

Amla tel banane ki bidhi:

4 se 5 kacche amla ko pees kar raas nikal lijiye. Amle ke raas aur nariyal tel ko brabar matra me mila kar use 10 se 15 minute dhime anch par boil hone djiye. Jab tak wah pila rang ka na ho jaye.

Thanda ho jane ke baad ap use kisi kaach ke shi-shi me rakh lijiye aur rozana balo me champi kijiye.

6. Badam ka tel (Almond Oil):

Badam ka tel

Yah tel rukhe mude-tude baalo ko poshan deker sidha karta hai. Aur baalo ko jhadhne se rokta hai. Badam ke tel me Magnesium ki matra adhik hone ke karan, yah apko balo ko posan dekar use tezi se badhne me help karta hai.

7. Bhringraj oil:

Bharingraj ka tel

Ayurved me balo ke swasth ke liye is tel ka barnan khub milta hai. Yah baalo se sambandhit har prakar ke problems ka raam-baan ilaz hai. Iska upyog karne se baalo ke sabhi pareshaniya jaise baalo ka safed hona, jhadhna, rukha pan, ganja pan aadi ko kam karne me help karta hai.

Bringraj ko ap kisi bhi annya tel ke sath mila kar pryog kar sakte hai. Ya fir ap ise market ke kisi bhi medical shop se kharid sakte hai.

8. Lahsun ka tel (Garlic oil):

Lahsun ka tel

Is tel ko ap ghar me hi bana sakte hai. Ise banana ke liye adhe cup jaitun ke tel me 2 barik kata hua lahsun mila lijiye. Fir use gun-guna garam karke thanda hone dijiye. Thanda hone par ap ise seer pe halke hatho se malish kijiye.

Lahsun ka tel baalo ke growth ke liye bhot labhkari hai. Yah apke baalo ko mota aur majhboot banata hai aur apke seer ka swasth bhi accha karta hai.

9. Sarso ka tel (Mustard oil):

Sarso ka tel

Sarso ke tel me vitamin E hone ke sath-sath omega 3 aur 6 Fatty acid paya jata hai. Yah apke balo ke gehraie me jakar poshan deta hai.

Is tel ka upyog karne se apke baal kaale, ghane aur majboot bante hai. Yah tel thora chip-chipa hota hai isliye ise lagane ke baad baalo ko shampoo se dho lena chahiye.

10. Kusum ka tel (Safflower Oil):

Kusum ka tel

Aksar baal rukhe ho jane ke karan, beech me se tootne ya jhadne lagte hai. Aise me baalo ko lamba kana aasan nahi hota hai.

Kusum ka tel baalo me nami pradan karne ke sath-sath jhadne se bhi rokta hai. Ap iske 5 bundh lekar balo me lagye thori der baad apne baal dho lijiye. Aisa daily karne se baalo ka rukha pan dur ho jata hai aur baal lambe bante hai.

Yah post “baal lambe karne ka oil” apko kisa laga? Hume niche comment box me likh kar jarur bataye. Agar apke man me koi sawal ho toh ap hume puch sakte hai.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top