Dant Dard Ka Gharelu ilaj- 5 Minute Me Paye Dard Se Chutkara
Dant Dard Ka Gharelu ilaj Kaise kare:- Dosto hum acche se jante hai ki danto me dard hone se bahot hi jayda pain hota hai aur ye sehan ke bahar ho jata hai, aksar is dard se humare ankh se ansoo nikal jate hai or seer me bhi bhyanak pain hota hai.
Agar ap chahte hai is dard se turant chhutkara, toh humare diye gaye gharelu nuskhe ko apnaye aur apne danto ko banaye majboot aur swasth.
1. Baraf (ice)
Achanak se hone wale dant ke dard me baraf ke chote tukre ko apne dukhte hue daant se daba ke rakhe aur ho sake to sue apne maasudo par bhi malte rahe isse foran apka dard chala jayega.
2. Kali Mirch ka prog
Ek chutki kali mirch powder or ek chutki haldi ko sarso ke tel me halka sa garam kar le fir use apne dant me lagaye dard se aaram milega.
3. Laung ka pryog (clove) – Best Ayurvedic home remedies for Tooth ache
Aksar dant me kide lag jane ke karan dant me dard hota hai, isliye ap raat ko sone se pehle ek saabut laung ko dukhte hue dant par rakh kar dhire dhire chabaye, isse laung se nikalne wala tel apke dant me jayega or apko turant aaram dega.
Ap iske liye market se milne wala readymade laung tel ka use bhi kar sakte hai yeh koi bhi medical shop me asani se mil jata hai, jab apke dant me dard ho tab ek ruie (cotton) tukre me ek bund laung tel laga le fir use apne dukhte hue dant se daba ke rakhe.
Laung tel apke dant me lage kide yani bacteria ko nast kar deta hai or apke massodo yani (Gums) ki sujan ko kam karke apko raahat pouchata hai.
4. Pyaz Ka Pryog (Onion)
Jab bhi apke dant me dard ho, kacche pyaz ke chote tukre kar le fir ek tukra lekar apne dukhte hue dant per rakh kar halka-halka dabaad dale or us tukre ko dhire-dhire chabaye, aisa karne se dant ka dard kuch hi der me chala jayega.
Agar apke dant me kida laga hua hai to hap pyaz ke ras se kulla kare, aisa din me kum se kum 4 baar kare. Ek doh minute tak muh me pyaz ke ras ko rehne de fir use bahar thoonk de, iske alabah pyaz ke tukre bhi chabate rahe isse apke dant ke kide mar jayenge .
5. Adrak Ka Prog
Dard hone par adrak ke chote chote tukre kat le fir use apne muh me dard ki jagah par rakh kar kuch is prakar chuse ki uska raas pure muh ke andar fail jaye, ras kam ho jane par use chabaye aisa din me 3 se 4 baar kare.
6. Lahsun ka pryog (Garlic)
Ek chammach shahad me 20 bund lahsun ka ras acche se mila le, uske baad use ras ko hatheli ya fir chammach se laker chaat le.
60 gram sarso tel me ek sabut lahsun ko pis kar dale or use acche se garam kare jab tak lehsun bhun na jaye uske baad us tel ko thanda karke chan le, fir usme 30 gram bhuna hua ajjwain or 15 gram pisa hua sondha namak milaye jab ye mishran taiyar ho jaye use ap kahi sambhal kar rakh de or roz usse manjan kare aisa karne se 1 mahine ke andar apke dant ke sare problems door ho jayenge.
7. Neem or babool ke manjan ka proy kare
Sadiyon se ayurved me likha hai neem ke dali ko daatun bana kar brush ki tarah upyog karne se muh me hone wali hare k roz se chutkara mil jata hai.
Isse apka daant saaf rahta hai or muh se durgnad bhi nahi ati hai neem me antibacterial gun hone ke karan yah apke muh ke sare jivanu ko nast kar deta hai or apke muh ko puri trah swasth bana deta hai, agar apko neem ka daatun nahi mile to hap babool ke manzan bhi upyog me la sakte hai ye dono hi apke dannto ke liye antayant labh kari hai.
8. Aam Ke Patte Ka Pryog
Dant dard ka gharelu ilaz me aam ke patte bare hi kam ate hai, ek kacche mulayam patte ko lekar uska paste bana le fir use apne teeth or gums me acche se malish kare. Aisa karne se apke dant or masoode ek dam patthar ki tarah sakt ho jayenge .
9. Hing Ka Pryog
Dard se turant chukara pane ke liye hing ko nimbu ya fir mausambi ke ras me mila kar paste bana le use apne dant ke jaro par lagaye.
Apne danto par sarso tel ya fir nariyal tel me ek chutki hing mila kar paste bana le, us paste ko rozana maasodo or danto pe male.
10. Fitkari Ka Pryog
10 gram Fitkari ko piss kar powder bana le fir 2 gram haldi powder ke sath mila le is mishran ko thore se sarso tel me mila le taki iska paste ban sake, us paste ko ap apne danto ke ched me, kide lage hue daant me, ya fir fooli hue massodo me acche se laga ke rehne de isse apko bhot aaram milega.
11. Sonth Ka Pryog
Sonth powder, kala namak or haldi ke powder ko sahi marta me mila le fir usse rozana apne apne danto par manzan kare isse dard me rahat milega.
12. Amrood Ke Patte (Guava)
Amrood ke patte bare hi kasaile hote hai, inke kacche paccto ko pani me ubal ka kadha bana le fir us kade se rozana 2 se 3 baar kulla kare, kulla karte wakt apne muh me is kadhe ko jyada se jyada se rakhne ki kosis kare. Asia karne se apke dant me majhbooti ati hai or dant ke samsth bikaro se chutkara milta hai.
Agar ap iske patte ko kaccha cahaba sake toh ye or bhi fayde mand rahega apko dant ke dard se turnt aaram dega.
13. Jamun ki chhaal
Agar jamun ka seson chal rahe ho to hap jamun khaye nahi to ap uske pedh se chal nikal laye or usko pani me ubal kar kadha bana le or usse ap rozana kulla kare.
14. Palak Ke Patte
Palak me vitamin B6 paya jata hai, vitamin B6 apke danto ke liye behad jaruri hai isliye ap patte ko acche se dho le fir use kaccha chaba chaba kar kahye dant ka dard humesha k liye chala jayega.
15. Tulsi ke Patte
Tulsi behad gun kari poudha hai, iska upyog bhot se gambhir bimariyon ko bhi thik kar sakata hai, iska proy kaise kare tulsi ke patto ko acche se piss le fir uska raas nikal kar kali mirch powder me mila le aisa karne ke baad ap uske chote chote gole bana le or apne kamjor danto me daba ke rakhe isse apko bhot faieda milega.
16. Pudina ke Patte
Ek glass pani me pudine ke patte ko piss kar uska ras mila le jab tak apni hara na ho jaye fir usse kulla kare dant dard me turant aaram milega.
Dosto apko Dant Dard Ka Gharelu ilaj kaisa laga hume niche comment box me jarur bataye or agar apko koi questions ho to hap hume jarur puche .
Agar apko ye post accha laga hon to hap ise apne dosto ke sath jarur share kare taki who bhi iska labh utha sake.