Close

ALOVERA HAI KHUBSURATI KA VARDAN – 10 ALOVERA TIPS

Healthy aur glowing chehra har ladki ka sapna hota hai. Bedag face se na sirf aapki khubsurti badhati hai balki aapka confidence level bhi badhta hai. Khubsurat aur bedag chehra paane ka sabse aasan aur upyogi treatment hai Alovera Jel.

Alovera jel bilkul hi natural aur herbal hai. Iska koi side-effect bhi nahi hai. Isase aapki skin glowing aut healthy bhi ho jati hai.

To aaeye jaante hai ki Alovera Jel ke kaun kaun se fayde hai.

BENEFITS OF ALOVERA JEL

1- ALOVERA JEL SE PAAYE MUHASO SE CHHUTKARA

alovera jel se paaye keel muhaso se chhutkara

Keel -muhase chehre ki khubsurti ko khtam kar dete hai. Agar aap muhaso se nijat paan chahte hai to niymit roop se alvoera jel ka istemaal kariye. Isme mauduj Anti- Microbial gun aapki skin ko fungal aur infection se bachata hai aur muhaso se mukti dilata hai aur chehre par nikhar bhi aata hai.

2- ALOVERA JEL SE DUR KARE SUN TAN

Alovera jel sun tan ko dur kare

Agar sun tan se aapki skin kali pad jaati hai aur face aur body ki khubsurti kam ho gyi hai to 2 table spoon alovera jel, me 2 table spoon niboo ka jus mila kar face ya body( jaha par suntan hua hai ) laga le aur 15 minutes tak sukhne ke liye chod de. Sukh jaane ke bad thande paani se dho le. Result aap khud hi mahsus karegi.

3- HOME CLINGER ALOVERA JEL

Glowing skin paane ke liye face ki safai bhi jaruri hai. To aise me Alovera jel home clinger ka bhi kam karta hai. Alovera face ki gandagi aur dead cells ko saf karta hai jisse naye cells ko bnata hai aur skin glow karne lagthi ai.

4- ALOVERA JEL SE PAAYE DANDRUFF SE CHHUTKARA

Alovera se paaye dandruff se chhutkara

Dandruff yani rushi jo baalo ki ek aisi problem hai jo maximum logo ko ho hi jaati hai aur jyadatar ye winter season me hota ha. Isase baalo me kafi khujali bhi hoti hai. To esase bachne ke liye apne baalo ki jadho me alovera jel ka paste banakar baalo me masaj kare aur fir thandhe paani se dho le. Aisa karne se dandruff aur khujali ki problem jaldi hi dur ho jaegi.

5- ALOVERA JEL SE PAAYE DAAG-DHABBO SE CHHUTAKARA

Daag- dhabbo ke liye alovera jel bahut hi achha nuskha hai. Niymit roop se face par alovera jel ko lagaye aur masaj kare. Chehre ke daag-dhabbe jaldi hi khatam ho jayenge aur aapka face healthy aur glowing nazar aane lagega, sath hi confidence bhi badhta hai.

6- DRY BAALO PAR LAGAYE ALOVERA JEL

Alovera dry baalo ke liye

Agar aapke baal bahut jyada hi dry hai aur rukhe- bejaan hai. To alovera jel baalo me nayi jaan dal kar baalo ko soft aur shiny banata hai. Apne baalo me alovera jel lagaye aur kuch samay bad hi mield shampoo se dho le. Baal bahut jo shiny ho jaate hai.

7- ALOVERA GEL SE PAAYE RINKAL’S SE CHHUTKARA

Alovera Jel se aapki rangat bhi nikharti aur rickal se bhi chhutkara milta hai. Alovera jel me anti-oxcident hota hai jo skin ko jawa bnaye rakhne me madad karta hai aur aap apni umr se kam ki hi nazar aati hai.

8- ALOVERA JEL SE PAAYE LAMBE BAAL

Alovera jel na sirf hamari skin balki balo ke liye bhi best hai. Iske liye aapko aadha cup alovera jel le, usme 2 table spoon castor oil, aawashyaktanusar methi ke bij ka power aur 2table spoon tulsi power ka paste milakar baalo me lga le. 2 ghante bad shampoo karle. Aisa karne se aapke baalo ka growth bahut jaldi hoga.

9- DRY SKIN KE LIYE BEST SOLUTION HAI ALOVERA JEL

Dry skin ko sabse jyada dekh bhal karne ki jarurat hai. Isase insan bewakt budha nazar aane lagta hai. To agar aapki skin dry hai to alovera jel ka istemaal daily karna chahie isase skin ki achhi dekhbaal ho jati hai aur skin soft bhi ho jaati hai.

10- SENSTIVE SKIN KE LIYE BEST HAI ALOVERA JEL

Senstive skin ke liye best hai alovera jel

Bahut logo ki skin senstive hoti hai unke face par koi bhi cream jaldi hi reaction kar deta hai. To aise me alovera jel me kheere ka ras, dahi aur rose oil ko mix karke pack bana le aur face par laga le. 15 minutes bad thande paani se dho lijye. Ye pack aapki skin ko hamesha soft aur glowing bnaye rakhega.

To dosto umeed hai aapko alovera jel ki jaankariya ke fayde jaankar achha lgage. In sabhi nuskhe ko aap try kare aapko isase jarur benefits milega aur kisi tarah ki jaankari ke liye aap mujhe comment me puch sakte hai.





Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top