Close

CHEHRE KE ANCHAHE BAALO KO HATANE KA AASAN TARIKA

Sundar, bedag aur aakrshak chehra to sabhi ko psand hai. Lekin chehra par agar anchahe baal ho to wo sundarata ko khatam kar deta hai. Gents ke bhi face par baal hona aam baat hai isase unki khubsurti me koi khas fark nahi padta hai.lekin aurato ke chehre par baal mano unki khubsurti hi kam kar deta hai.

Anchahe baaalo ko kam karne ke liye fir hum beuty products ki help lete hai, jisme dher sara chemical hota hai jo aapke chehre ko nuksan bhi pahuchata hai. Ye products kuch dino ke liye aapki problems ko dur kar dete hai. Lekin bad me bahut jyada badi problem bankar samne aa jati hai.

Isliye aaj hum aapke liye kuch aasan gharelu upay laye hai jo na sirf apke anchahe baalo ko kam karega aur balki, bilkul hi kifayati aur natural products hai. Isase kisi tarak ka koi nuksan bhi nahi hai.

ANCHAHE BAALO KO KAM KARNE KE GHARELU UPAY -:

1 – Toothpaste -: Apko ek peel of mask ki bhi jarurat padegi jo apko market se lena padega. Ek katori me peel of mask, toothpaste, aur thoda sa paani mila kar ek achha pest taiyar kar le fir aap is pest ko apne face par laga le aur 20-25 minutes ke liye sukhne de. Jab aapko lage ki pack achhe se sukh gya hai to gungune paani se face ko dho le.

Toothpaste

Aisa krne se ek hi bar me bal hmesa ke liye nahi gayab ho jayenge balki dheere-dheere saf honge aur chehre par nikhar bhi aayega.

2 – Kachha Papita -: Kachhe papite ka ek tukda piskar pest bna le aur usme aadha chammach haldi ka powder mila le. Ab is paste ko apne chehre par lgakar 15-20 minutes tak chehre ki malish kare aur fir thande pani se dho le. Aap chahe to yah pack daily kar sakte ho, nahi to hafte me 2 bar jarur kare.

Papita aur haldi

Yahi pack 2-3 mahine tak kare sare anchaahe baalo se chhutkara mil jaeyega. Isase na sirf aapko anchaahe baalo se chhutkara milega balki face par nikhar bhi aaeyega.

3 – Mom aur Til ka Tel -: 1 bhag mom aur 5 bhag til ka tel kisi bartan me pighla kar soft bna le. Ab isko thoda halka garm hi face par lgaye taki face na jale aur 1 ghante bad dhokar saaf kar le Isase anchahe baalo ko hatane me sahayta milega.

4 – Ajwain aur Sirka -: 1 gram ajwain aur 1/2 aadha gram afim ke sirke ko ghol kar face par lgane se anchaahe baalo ko hatane me fayda milta hai.

Ajwain sirka

5 – Pudina -: Body me androgen ki matra adhik ho jaane se anchahe baalo ki problem aati hai. Daily 5-6 pudine ki patti ko chai pine se labha milega.

6 – Sugar, Honey & Lemon -: Cheeni ko pighlakar isme sahad aur nibu ka ras mila kar face par lga lijye aur sukh jaane par wax ki tarah saf kar le.

Sugar,honey,lemon

7 – Masoor ki Daal -: Masoor ki daal ko ratbhar bhogone ke bad usme niboo ka ras, sahad, aaloo ka ras, aur chutki bhar haldi mika de. Yah ek bahut hi asardar pack hai jo aapke anchahe baao ko kuch hi dino me saf kar deta hai.

mashoor dal

8- Besan, Sarso ka tel & Haldi -: Ek chammach besan, sarso ka tel aur haldi ko mix karke chehre par malish kare.Kuch hi minuto me anchahe baalo ko jadho se nikal dega. Iskwe upyog s na sirf anchahe baal nikalte hai balki chehre par nikar bhi aata hai.

Besan, haldi

9 – Egg, sugar & Corn Floor -: Anchaahe baalo par egg white( ande ka safed bhag ), chini ur makke ka aata ka paste lgaye aur sukhne ke bad thande paani se dho le. Fark aap khud hi dekhenge.

10 – Dahi, Besan & Haldi -: Ek katori me dahi, besan aur haldi ko mila kar chehre par lagae. 15-20 minutes tak sukhne ke liye chod de. Fir thande paani se dho le. Isase na sirf anchahe bal niklenge balki chehre par nikhar bhi aaeyega.

Besan, dahi, haldi

11- Kabuli Chana -: Kabuli chane ka aata ka pure body ke baalo ko htane me istemal hota hai. Ek katori me kabuli chana ka aata, kachha dudh, haldi, cream ko milakar chehre par lgaye. Aadha ghante sukhne de aur fir gungune paani se dho le.

To upar ye jitne bhi gharelu upay diye gye hai inse kisi tarah ka koi bhi nuksan nahi hai. Balki ye sabhi natural aur aapke budget me bhi. Ye sabhi cheeje aasani se hamare ghar me bhi mil jati hai.

To umeed hai aapko ye article achha lgega aur kisi tarah ki jaankari ke liye aap hame comment me puch sakte hai.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top