Close

KAUN THI DUNIYA KI PAHLI NURSE ? KYU MANAYA JATA HAI “NURSES DAY” ?

The lady with Lamp

Dosto kya apko 12 May ke baare me pta hai jise “INTERNATIONAL NURSES DAY” ke roop me manate hai. To kya aapko pta hai ki duniya ki pahli nurse kaun thi, agar nahi to aaj hum apko batate hai esake baare me.

Apne Florence Nightingle ya “The Lady With the Lamp” ke baare me suna ya padha hi hoga. To kya aapko pata hai ki Florence Nightingle ko hi duniya ki pahle nurse mana jata hai aur unhi ke birthday ko International Nurses Day ya nurse day ke roop m manaya jata hai. Florence Nightingle ki aisi kai baate hai jo unhe mahan banati hai. To aaeye jante hai duniya ki pahli nurse ke baare me.

12 May 1820 ko Italy ke Florence Nightingle ko ek nurse se jyada ghaylo ki jaan bachane ka devdut ke roop me jana jata tha. Unhone jung me ghayal hajaro logo ki jaan bachai thi. Nightingle ka bachapan se hi shauk tha ki wo logo ki sewa kare, isliye 1844 me unhone tay kiya ki unhe nursing me jana hai aur logo ki sewa karna hai.

Flolence Nightingle ne jab apne mata- pita se kaha ki unhe England ke Salisbury shahar me jana hai nursing ki padhai ke liye, To unke mata-pita me unhe mana kar diya. Florence ke mata-pita chahte the ki wo shadi kar le aur apna ghar basaye.

Ek report ke mutabik pta chala ki ek baar florence nightingle ka kisi yuwak ke sath affairs bhi tha, lekin unhone shadi karne se mana kar diya. Lekin unke ghar waale un par shadi ke liye bar-bar pressure bhi dalate the but Florence ne shadi se mana kar diya. Jab unke ghar waalo ko laga ki florence shadi nahi karna chahti hai to unke parents ne unhe nursing ki traning ke liye Germany jaane ki anumati de di.

Jab Crimean ka yuddha hua tha to usme bahut se log maare gye the aur bahut sainik ghayal bhi hue the. Un ghayal sainiko ki sewa karne ke liye 1854 me 38 nurso ke sath unhe Turki bhej diya gya. Waha par unhone ghyalo ki bahut sewa ki. Florence raat me jag kar apne hatho me lamp lekar ghayalo ko dekhne jati thi aur unki sewa karti thi. Isliye Florence ka naam “THE LADY WITH THE LAMP” ke naam se bhi jana jane laga.

Florence ko Britain ki sarkar ne unke achhe karyo ke liye unhe “ORDER OF MERIT” ke samman se nawaja gya. Ye samman paane waali wo pahli mahila thi. Logo ki sewa karte karte Florence ko apni uamr ka bhi pta nahi chala. 1910 me 90 saal ki umar me Florence ne is duniya ko alwida kar diya.

To dosto umeed hai aapko duniya ki pahli nurse ke baare me jaankar achha laga hoga. Aur agr kisi tarah ka swal ho to aap comment me puch sakte hai.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top