Close

Ramayan ke Bhagwan Shri Ram Arun Govil ki Biography in Hindi

Arun Govil

Dosto aaj hum apko TV jagat ki ab tak ki sabse mashahur aur lokpriya serial Ramayan ke bare me kuch rochak jankariya de rhe hai. Ramayan aaj bhi har umar ke logo ko apni taraf aakrshit krta hai. Aaj bhi log Ramayan ko utni hi utsukta se dekhte aur psand krte hai. Aur sabse jyada jo aakrshit karta hai wo hai bhagwan Shri Ram ka character jise nibhaya tha mashahur abhineta Arun Govil Ji ne. Ye dasta hai ek aise vaykti ki jise dekh kar shraddha ka bhaw umad jata hai, to aaeye Arun Govil ji ke bare me jante hai kuch mahtwapurn bate:

Birth – 12 January 1958
Study – Science me grducation Uttar Pradesh ke Merath sahar se
Father – Chandra Prakas Govil
Wife – Shrilekha Govil

Daughter-Sonika Govil

Son – Amal Govil

Age( as in 2020) – 62years

Waise to Ramayan ke har kirdar ne apni bhumika bahut achhe se nibhaya hai lekin Arun Govil ji ki bhumika ko aaj bhi nhi bhula ja sakta hai.Arun Govil me bahut sare filme aur tv serials ki lekin Ramayan se unhe jo safalta mili wo aaj bhi barkrar hai.

Inhone ne bahut sari bhashaau me filme ki jaise Hindi, Telgu, Braj bhasha, Bhojpuri, Odiya.

Arun sahab ko bachpan se hi abhinay ka bada shauk tha. Collage ke dino me bhi ye bahut sare natak me bhag liya karte the.

Arun ji paheli bar mumbai apne bhai ke sath unke bussiness me hath batane aaye lekin bussiness me jyada man na lga aur aur acting me apna hath aajmane lge.

1977 me Rajshri ki film Paheli me mauka mila kam krne ka aur es film me unke abhinay ko bahut saraha gya. Eske bad inhone 3 aur filme ki jo hai- Sawan ko aane do, Sach ko aach nhi, aur Radha aur Seeta.

Isi bich unhone tv serial Vikram aur Baital me bhi apne abhinay se sabka dil jeet liya aur ye tv serial bhi bahut mashahur hue.

Usi samay Ramanand Sahab Ramayan serial ki taiyari kar rhe the. Tab Arun Govil ji khud hi Ramanand sahab ke paas gye the aur kaha tha ki wo mukhaya kirdar Ram ko roll krenge. Isake bad Arun ji ka audition liya gya to enhe ram ke roll ke liye paheli bar me reject kar diya gya tha.


Fir unhe lakshman ya bharat ka roll karne ko kaha gya tha lekin unhone mana kar diya aur than li thi ki roll karunga to Ram ka hi.Tab jakar inhone dobara audution diya aur enhe ram ke roll ke liye chuna gya.


Es kirdar ke bad koi bhi Arun ji ko fimo me nhi lena chahata tha kyuki sabhi kahte ki aap ki to aisi image hai ki uske sath kisi herion ko kaise jodh sakte hai. Fir inhone acting ko jari rakha aur bataur producer bhi kam krne lage aur bahut sari serials bnaye aur khud bhi bahut sari dharmik filmo aur serials ka hissa bne rhe.


Ramanand ji ek kirdar ne Arun ji ko di ek alag pahchan jisse unka naam hmesha hmesha ke liye amar ho gya.


To dosto aasha krta hu ki apko Arun Govil ji ke jindagi ke bare me jankar achha lga hoga.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top