Close

Kon Se Website Me Kitna Traffic Hai Kaise Pata Kare

website me kitna traffic h kaise pta kre

5 BEST TOOLS FOR TRAFFIC ANALYSIS

Kya ap janna chahte hai? kis website ko kitna traffic  (or page view) mil raha hai. Waise to bhot sare third  party tools hai. Jinka use karke ap traffic  ke bare me pata laga sakte hai. Lakin apke competitor website ka sahi- sahi traffic ka anuman lagana mushkil hai. Isliye aj me apko kuch khas tools batane ja raha hun. jinka use karke ap accha khasa andaza laga sakte hai ki koi bhi swebsite ko lagbhag kitna traffic  mil raha hoga.

1. Alexa.com:  kisi bhi website ke domain name ko  Alexa me search karo. Fir Alexa apko batayega ki us website ka kitna traffic rank hai.

Worldwide Traffic rank:  Alexa  lagbhag sare popular sites ko analyze karta hai. Aor uske base pe rank deta hai. Jise site me jitna traffic hoga uske alexa rank unta hi kam hoga.

Alexa ki ek or khubi hai, ye same topic wale sare sites ko compare karta hai fir apko estimate page views, bounce rate, or demographics bhi batata hai. (demographics ka matlab visitors ki age kitni hai, unka education kitna hai, woh kon se topic  me interest rakhte hai aur bhi bhot kuch).

Country wise rank: Ap alexa me country wise rank bhi check kar sakte hai. Suppose apka website India me kitna popular hai. use India se kitna traffic mil raha hai wagera-wagera.

2. Compete.com: kisi bhi website ko United States se kitna traffic mil raha hai,Compete ke help se ap uska sahi anuman laga sakte hai. Lagbhag har ek website me kitne unique visitors aa rahe hai uski jankari Compete deta hai.

Isme or bhi acche features hai jaise ki: – Page views, Average stay duration (Bounce Rate), Demographics etc. Lakin ye sare options paid members ke liye hi hai.

3. Similar Web.com: Pehle yah ek simple sa tool tha. Jisme ap  ek jaise topic ke website ka pata laga sakte the. Lakin kuch samay baad yah site ek jabardast traffic estimator tool ban gaya. Isme apko kisi bhi site ke traffic source ke bare me pata chal jayega. Jaise- Google se kitna traffic hai, Social media se kitna traffic hai, kon se keyword se traffic aa raha hai or bhi bhot kuch.

Ap isme Traffic report ko PDF format me bhi download kar sakte hai. Taki ap use acche se analyze kar sake.

4. SEM Rush.com: yah bhi ek mast tool hai. Is tool ka use karke ap kisi bhi website ka organic traffic, backlinks, kon se search term se kitna traffic mil raha hai, Keyords ki CPC  kitna hai. Kon se advertiser ads kar rahe hai. Yaha tak ki ap sabhi countries ki traffic bhi check kar sakte hai.

QuantCast: Yah site demographics ke mamle me bhot aage hai. Agar apko apne Visitors ke bare me puri jankari chaiye toh isse accha tool ho hi nahi sakta. Isme jankari kuch aise rehta hai- vistors ki age, income, education aur kon se topic me interested hai.

5. KYA APKO PATA HAI GOOGLE ADWORDS KA USE KARKE BHI AP TRAFFIC KA PATA LAGA SAKTE HAI.

Shayad apko pata na ho, ap Google AdWords  ke andar Display Planner me jake  kisi bhi website ki traffic ka andaza laga sakte hai. Aisa karne ke liye sabse pehle apko apne Gmail id se Google Adwords me login hona hoga.

Google diplay planner ka option select karne ke baad, usme ek search box ayega . us search box me koi bhi website ka domain daal doh.

Agar apko country wise traffic dekhna hai toh ap country select kar sakte hai. Agar apko world wide traffic dekhna hai toh, koi bhi country select na kare.

Aisa karne ke baad, ek week me us website ko kitna traffic mila hai. Uski Jankari show karega. Agar ap use 4 se multiply kar de toh apko pure mahine ki traffic ka pata chal jayega.


Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top