WordPress Website Ko Free Me Host Kaise Kare – 100% Free
Dosto hum jante hai, ki joh log new blogging kar rahe hai ya fir new website banana chahte hai. Unke liye paise khrach karke hosting lena sambhav nahi hota hai. Isliye aj me apko apni wordpress site free me host kaise karte hai uske bare me bataunga.
Dosto, agar ap un logo me se hai joh apni site ko free host karna chate hai. Taki ap sikh sake ki website kaise banate hai or agar apke pass premium hosting kharidne ke liye paise nahi hai toh. Ap in free hosting ka use kare.
List of Free Hostings for WordPress:
1. x10Hosting.com
Yeh hosting porovider sabse purane hosting providero me se ek hai. yah site san 2004 se service de rahi hai. Iske sabse acchi baat yah hai ki isme bhot acche features milta woh bhi ek dam free.
Features:-
- Iska Cpanel ka version ek dam latest hai.
- Private cloud hosting.
- MySQL and PHP ka latest version mil jata hai.
- Isme jabardasti koi bhi add show nahi hota hai.
- Iska customer support bhi bahot accha hai.
2. Byethost.com
Yah hosting provider bhi, apne unnat hosting service ke liye jana jata hai. Isliye humne ise apne list me 2re number par rakha hai. Iske kuch features toh behad jabardast hai. Jaise ki: FTP account, file manager, Control panel, free tech support, add-on domain and sub-domains or bhi bahot kuch.
Features:-
Best Thing is that you get Softaculous Auto Installer.
200 GB monthly transfer
1000 MB of the disk space.
You can have 50 addon domains, 50 parked domains & 50 sub domains
5500 MB disk space
50 MySQL databases
Free 24/7 support and also FTP account
Control panel for your easy handling of the website.
A good error page manager.
Free hosting without any ads and pop-ups.
Is hosting site me ap apni website kuch hi minto ke nadir live kar sakte hai. Or yahi iske sabse badi khasiyat hai.
Iske Features kuch is trah hai:
Website builder hone ke sath sath isme bhot sare free templates bhi mil jate hai.
Ap apna khud ka domain use kar sakte hai ya fir ap unka sub domain bhi use kar sakte hai.
Isme apko 20 GB disk space milta hai. Joh ki 200 GB traffic bandwidth ke sath ata hai.
WordPress ke sath sath apko yaha Joomla, phpBB bhi mil jata hai.
Apko yaha par 3 tarah ki PHP version mil jati hai. Ap apne jarurat ke hisab se koi bhi use kar sakte hai.
Yaha par ap apna free email account bhi creat kar sakte hai.
4. Biz.nf
Is hosting provider ke saat, ap apni website sirf 2 minute ke andar hi bana sakte hai or iske sabse acchi baat hai ki yeh apko free .CO.NF Domain bhi provide karta hai.
Features:
- 1000 MB web space
- 5000 MB of data transfer
- Host 1 Domain name free
- FREE domain name (.co.nf)
Biz.nf free hosting plans me apko WordPress or Joomla me site banana ke liye, automatic installation bhi milta hai.
Yaha par apko PHP 4 or PHP5 milta hai. lakin PHP 7 yaha par apko nahi milta hai.
Yaha par apko free site build karne ke liye tools bhi mil jata hai.
Upar maine jo apko hosting site bataya hai. usme me ap kisi me bhi free hosting kar sakte hai. Lakin ap ek baat ka dhyan rakhe. Agar apko practice karna hai site banane ki ya aise hi normal site banana hai toh thik hai, Kabhi bhi apna professional site is hosting sites me host na kare. Iske piche ke reason me apko batata hun:
Limited Space and Bandwidth: Free hosting me apko bhot hi kam space or bandwidth milta hai jiske karan ap apni wesite ko jayda bada nahi bana sakte or to or apke website me agar jada traffic aa rahi hai. toh apka server crash ho jayega.
Very Poor Customer Support: Agar site ya hosting me koi problem aa jaye toh, uska solution jaldi nahi milta hai. Inke customer support bhot hi late or kharab hota hai.
No Backup System: Kisi karan se apke site me koi problem aa jaye, crash ho jaye, ya fir hack ho jaye toh apko apne site ka backup nahi milta hai. Uske karan apki puri mehnat pani me ja sakta hai.
Risk of Getting Banned or Suspended Account: kaie baar ye log apko bina bataye apka hosting account band kar dete hai. Jiske karan apko problem ho sakta hai.
Affects blog’s SEO: Free hosting sites me website ko host karne se apka SEO kharab ho jata hai. kyon ki inke server ki speed jayada nahi hoti jiske karan apka site late khulta hai. In servers ka IP address bhi accha nahi hota hai yaha sabhi spaming sites host karke rakhte hai. Jiske karan apke blog ka seo bhi kharab hota hai.
Last Words or Humari Salah: agar ap wordpress sikhna chate hai. Uspe practice karna cahte hai jaise plugin update karna, theme update karna site ki setting karna toh apke liye accha hai.
Agar ap ko pehle se hi wordpress ata hai or ap professiniol site banana cahte hai. Toh ap koi acchi premium hosting me apna site host kare. Usse apka site smooth chalega or apka business bhi age badhega.
Waise to mene Upar 4 free hosting sites bataie hai. Agar apko iske alawa koi free hosting ke bare me malum hai. Toh ap hume niche comment box me jarur share kare taki humare friends bhi unka labh utha sake.