Pet Ki Charbi Kam Karne Ka Tarika
Pet ki Charbi kam Karne ke Upay: Motapa kam kare Aur Fit Rahe
Pet ki charbi kam karne ke upay in hindi: aj hum apko 10 gharelu upay batane ja rahe hai jisse ap apne body me jama atirikt charbi (extra fat) ko aasani se kam kar sakte hai.
Lakin pehle ap in bato ka jarur dhyan rakhe – jayda tel yukt khana (oily food), exercise ki kami or be bakt khane se body me charbi ki matra jayda badh jati hai or apko anek prakar ke rog bhi ho sakte hai jaise ki:-
(khoon ka gada hona) yani cholesterol, sans ki taklif (asthma), hirday ki bimari (heart disorders) or bhi na jane kya kya.
In gharelu upay ko daily follow kare or apne body se extra charbi kam kare:
Agar ap niche diye gaye tips ko acchi tarah se follow karenge toh , apka body ek dam fit ho jayega or apko ek sawast jeevan jine ka naya absar prapt hoga.
Pet ki Charbi kam Karne ke Upay In Hindi:-
1. Apple (sevh)
Agar ap daily ek apple kahte hai toh, apki body fit rahti hai or body me jama extra charbi ko bhi kam karne me help karta hai, kyon ki apple me pectin naam ka tatwa hota hai, joh body me chrabi jama nahi hone deta or body me pani ki matra ko bhi badha deta hai jiske kaaran apki body ekdum fit rehti hai.
2. Vitamin C
Nimbu, santra, tamatar aur mousambi apke sehat k liye bhot hi jayada fiede mand hai, kyon ki is sabhi fhalo me vitamin c hota hai, jiske karan apke body me jama charbi tezi se galne lagta hai or wah apke body se asani se bahar nikal jata hai.
3. Doodh ka pryog (Dairy Products)
Doodh or doodh se bani chizo me bhot jayda matra me calcium or vitamins rehta hai,joh ki charbi kam karne me help karta hai.
Yeh scientifically prove ho chukka hai ki, doodh ya doodh se bani chize khane se body me charbi ka jamna kam hota hai. Isliye ap apne ahar me , doodh, dahi, ghee aur paneer jaise chizo ka sevan jayada kare.
4. Dry Fruits (Badaam)
Agar ap apne aahar me dry fruits ko shamil karte hai jaise: mungfali, akhrot, kazu, pista, baadaam v khaye jo sharirik charbi ko ghatane me bahut help milega, kyon ki yeh sab khane se apke body me fiber ki maatra badh jati hai or apka pet saaf rehta hai.
5. Lal Mirch (Chilies)
Me yaha powder ki baat nahi kar raha hu, balki kacche hari mirch ki baat kar raha hu,ise agar pa daily apne khane me thora-thora khaye toh isme paya jane wala capsaicin tatwa apke body me metabolism ko badhata hai jisse apki paachan kiriya strong ho jati hai or khana acche se pach jata hai, jiske karan body me fat jama nahi ho pata hai.
6. Kadi Patta aur Choti – ilaichi
Ise bhi ap apne khane me shamil kar sakte hai, kyon ki isme bhi metabolism badhane wale vitamins paye jate hai jo ki apke body ki charbi ko kam karne me help karta hai.
7. Green Tea
Yani hari chai, joh ki market me aasani se mil jata hai. Is chai ko dudh se nahi banaya jata balki chai patti ko ubaal kar hi banaya jata hai, ap ise chai ka pure form bhi keh sakte hai. Green tea ki yah khasiyat hai ki isme antioxidents or vitamins hote hai joh apke body me jake khoon ko saaf karta hai or apke khoon ko ghadha haone se bachata hai.
8. Fish Oil (cod liver oil)
Yah bhi medical shop se aasani se mil jata hai, agar ap daily ek goli khaye toh ek mahine me hi apka weight 2 kilo tak kam ho skata hai.
9. Honey (shehad)
Roz subah khali pet 3 chammach honey ko gungune garam pani me mila kar pi jaye, usse apko wazan kam karne me bhot help milega or ap bhot tezi se weight lose kar payenge.
10. Exercise (vyayaam)
Daily exercise karne se apka body fit rahta hai or ap ek healthy life jite ho.
Exercise karne se blood circulation accha rehta hai.
- Muscle maspasiyan mazboot bante hai.
- Apka heart accha rehta hai.
- Apko bhookh lagta hai aur apka paachan yani digestion accha hota hai.
Ummid hai apko humare ye charbi kam karne ke upay acche lage honge, Hum yahi ummid karte hai ki ap in tips ko follow karenge or apna body fit or healthy banayenge.