Close

Keyword Ranking Check Karne Ke Liye 8 Best Tools

Keyword Ranking checker

8 Best Keyword Rank Checker Tools

Sare seo professionals, apne blog post ka keyword rank check karne ke liye koi na koi Rank Checker tool use to karte hi hai.

Apke man me kaie baar sawal ata hoga ki, mera kon sa post Google me kon se number par hai?. Ya mene joh keyword target kiya tha wah Google ke kon se position me rank kar raha hai.

Dosto, aj me apko Google serp (Search Engine Position Ranking) pata karne ke liye 8 best tools batane ja raha hun. Jiske use karke ap asani se apna keyword position check kar sakte hai.

1. SEMRush:

SEMRush

Mostly seo professionlas is tool ko use karte hai. Bola jaye toh bade-bade bloggers ka ye favorite tool hai. Kyon ki isme Rank check karne ke sath-sath or bhi bhot si jankari prapt ki ja sakti hai.

SEMRush me jake apne blog ka URL dal kar, country select karke search karne par. Yah tool apko Google ranking position batayega. Kon sa keyword  or kon sa post kaha rank kar raha hai. Ye ap is tool me help se pata laga sakte hon.

Normally ap per day free me 3 baar hi ise use kar sakte hon. Agar apko ye tools ko jayda use karna ho ya pane blog ke bare me jayda janna hoi toh apko subscription lena padega.

Agar ap iske premium features try karna chahte hai toh, ap SEMRush ka 30 days free trial plan use kar sakte hon.

2. SEO SERP Workbench:

SEO SERP Workbench

Apke jankari ke liye bata dun, yah ek chrome extension hai. Ap Google me search karke ise apne Google Chrome Browser  me asani se add kar sakte ho. Ya extension lagbhag 79 thousand times download hua hai. Isse hume pata chata hai ki, yah tool professional bloggers ke liye bhot useful hai.

Is tool me ap country wise ranking check kar sakte ho jaise U.S, UK and others. Isme ap keyword wise ranking pata kar sakte ho aur apke competitor’s ka rank bhi track kar sakte hon.

Sabse acchi baat yah hai ki, ap ise chrome extension directory se free me download kar sakte hon.

3. SEO scores Android app:

Jaisa ki iske mene upar likha hai, yah ek android app hai. Joh ki acche acche desktop tools ko takkar de raha hai. Iski sabse khas baat yah hai ki, is ek app me hi lagbhag 32 seo tools included hai.

Ap is app se apna SEO score dekh sakte hon, ranking check kar sakte hon. Yah app apke settings ke hisab se alert bhi deta hai aur sabse acchi bat yah ki, ap isme apne blog ka backlinks bhi check kar sakte hon.

Agar apke pas android set hai toh, ise ap turant download karke use kar sakte hon, jaisa normally dusre app ko karte hon.

Is app ko download aur use karna bilkul simple hai:

Sabse pehle Google playstore me app ka name search karo > fir is app ko install karo > fir apne phone ko restart karo.

Uske baad is app ko open karke apna website ka URL dalo or apne keywords ko add karke find rankings pe click karo.

Yah apko apke keyword ke hisab se ranking batayega, isme apko apne website ka U bRLb ar-bar dalne ki jarurat nahi hai kyon ki wah app me hi save rehta hai.

Is app ki khas baat yah hai ki, ye apko report send karta hai who bhi directly apke email id par. Jise ap download karke analysis kar sakte hon. Aisa features toh bhot se desktop software me bhi nahi milta hai, mere hisab se yah ek bhot useful app hai.

4. Small SEO Tools:

Small SEO Tools

Yah ek popular website hai, jaha par apko seo se related sare tools mil jayenge jaise ki backlinks checker, position checker, article uniqueness checker or bhi bhot kuch.

Is tool me apne keywords ki position check karne ke liye is link par jaye: http://smallseotools.com/keyword-position/  

Link open karne ke baad apko Your Domain me apne website ka UL dal dena hai.

Uske baad ap isme 5 keywords add kar sakte hon, jiska apko position check karna hai.

By default waha pe Google.com select hoga, joh ki U.S ka result dikhata hai. Agara apko india ka result check karna hai toh ap More SEs me clik karke Google.co.in Select kar skate ho.

Is tool ki khas baat yah hai ki, ye bhot fast kam karta hai. Aur isme kafi sari countries ka option diya hua hai, jisse ap puri duniya me kisi bhi country me apna position check kar sakte hon.

5. Moonsy’s Google Position Checker:

Google me “Moonsy’s Google Position Checker” serach kare toh, apko ye site mil jayega.

Moonsy ek mast tool hai, kyon ki iske features kafi acche hai aur ye free bhi hai. Yah powerful tool apko rank check karne ke sath-sath apke competitors ke rankings ki jankari bhi deta hai. Ek rank checker tool me isse jayda ap kya umid kar sakte hai?

Moonsy professional bloggers me itna famous kyon hai? Kyon ki iska interface bhot clean hai. Ise use karne me apko koi preshani nahi hogi. Aur isme ap ek sath 2 URL daal kar apne keywords ka ranking pata laga sakte hon.

Tips: – jaisa ki mene apko pehle hi kaha. Ki isme ap 2 URL use kar sakte hon, toh pehla URL apne blog ka dalo or dusra URL apne Competitor ka isse apko anadaz lag jayega ki apke competition wale site kaha rank kar rahe hai.

6. Rank Checker:

Rank Checker

Rank Checker Firefox Browser ka extension hai joh ki SEObook dwara banaya gaya hai. SEO book ke hisab se yah ek open source tool hai aur ye secure bhi hai.

Mera yaha Secure ka matlab hai. Ki apke blog ka data koi aur dekh nahi saka ya koi aur company ise apne fyde ke liye use nahi kar sakta.

Yah extension puri tarh se apke pC me host rehta hai aur isme ap apne keyword ko bade aasani se track kar sakte ho.

Agar apke pas Google account hai toh ap apna ranking report mail bhi kar sakte hon. Halaki yah optional hai ap is option ko off bhi kar sakte hon. Normally ap apne PC me hi position check kar sakte hon.

Iski khas baat yah hai ki, ap apne ranking positions ki repot .CSV format me save and download kar sakte hon.

7. Keyword Rank Checker by SERPS.com:

Keyword Rank checker

Yah bhi ek free tool hai aur isme ap countries ke hisab se apna ranking check kar sakte hon.

Yah tool lagbhag 100 countries ko support karta hai.

8. SEO Centro:

SEO Centro bhi ek web portal hai  Small SEO Tolls aur Moonsy ki tarah. Jisme apko sabhi tarah ke SEO tool mil jayenge.

Ap isme pure detail se apna keyword ka ranking check kar sakte ho. Aur yah 3 search engine ko support karta hai Google, Bing and Yahoo.

Isme bhi ap apne competitor ka url dal kar ranking ka comparison kar sakte hon.

Conclusion:

Upar bataye gaye sare tools rank track karne ke liye accha hai, sabhi me kuch na kuch khami  aur acchahi hai. Islye ap hare k tool ko ek baar check kar lo aur apko jis tool ko use karne me aasani hon use hi use karo.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top