Hindi Typing Kaise Kare – हिन्दी मे कैसे टाइप करे?
Hindi typing kaise kare, aaj kal har ek kam computer, mobile aur internet ke sahare hone laga hai. Lekin gour karne wali baat yah hai ki computer athva mobile me joh keyboard aur typing pad paye jate hai unme sirf English font hote hai. Jiske karan ham asmanjas me padh jate hai ki akhir Hindi typing kare toh kaise kare. Isliye aaj mein aapko fast Hindi typing kaise karte hai uske bare me bataunga.
Pahle log English me hi type kiya karte thae. Lekin jaise-jaise online kranti shuru hua logo ne computers aur mobile me hindi bhasha ka upyog karna shuru kiya. Aaj log Hindi bhasha ka pryog official kaam se ya fir social media sites jaise Facebook, Twitter, whatsapp aur Google plus me Hindi lekh share karne ke liye upyog karte hai.
Aj kal Hindi blogging yani hindi website ka chalan bhi badh gaya hai. Bahot sare aise websites hai joh sirf hindi mein hi aapna article dalte hai jaise, Hindi me shayari, Hindi jokes, Hindi kahaniyan aadi. Toh dosto aaj me aapke sath ek aisa online tool share karne ja raha hun. Jiska istemaal karke aap Hindi kya bharat ki koi bhi basha jaise Marathi, Bengali, Gujarati aadi me bade aasani se type kar payenge.
Toh chaliye jante hai online software ke madad Hindi se typing kaise kare. Hindi typing karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare: –
- Sabse pehle Google me jakar “quillpad” search kare.
- Search ho jane ke baad aapko www.quillpad.in naamak website dikhega.
- Aab Uss website ko open kijiye.
- Open ho jane ke baad aapko waha par “Quick Hindi Editor” ke niche khali box yani typing pad dikhega.
Aab aap typing pad ka upyog kar skate hai. Yaha par dhyan dene wali bat yah hai ki Hindi me likhne ke liye aapko Hinglish yani roman Hindi me type karna padega. Mein aapko ek udharan deta hun jisse aap behtar samjh payenge. Suppose aap typing pad mein likhte hai “aapka din subh rahe” to wah apne aap hindi me badal jayega “आपका दिन सूभ रहे” jaisa ki yaha par aapko dikh hi raha hai.
Quillpad editor ki khas baat yah hai ki typing karne ke douran ek hin word ke alag-alag options bhi deta hai. Jise aap mouse se click karke select kar sakte hon. Ess trah ke option milne se ham galtiyan kam karte hai aur typing bhi fast hota hai.
Quillpad editor aapke internet connection pe bhi depend karta hai. Internet connection jitna fast hoga aapka likha hua utna hi jaldi Hindi mein convert ho jayega. Agar aapka net connection slow hai toh, browser mein editor ko thik se load hone dijiye fir typing shuru kare.
Agar aap mobile me hindi typing karna chahte hai toh aapke pass android ya smart phone hona jaruri hai. Kuch mobiles ke typing pad mein by default Hindi fonts hote hi hai. Agar nahi hai toh aap Google play store ya fir app store me jake Hindi keyboard download kar sakte hai.
Joh log Android phone use karte hai wah Google play store se “EazyType Hindi Keyboard” ya “Google Indic Keyboard” jaise hindi typing aap download kar sakte hai.
In dono mein se koi bhi ek aap download karke aap Watsapp, Facebook ya fir aapne e-mail mein bari aasani se Hindi me type kar sakte hai. Aur in apps ki khas baat yah hai ki Hindi language ke alawa india ke jyadatar language ko support karta hai. yani ab aap apne niji bhasha mein bhi badi aasani se type kar sakte hai.