HOW TO GET POWERFUL PR8 DOFOLLOW BACKLINKS FROM GOOGLE DRIVE
Hello dosto, aj me apko Google Drive se dofollow backlink lene ka trika share karne ja raha hun.
Yah PR8 dofollow backlink hai. Joh apke blog ka page rank high karne me help karta hai.
Is backlink se apka blog, Google search engine results me bhi accha rank karega.
Waise dekha jaye toh, yah Google se backlink lene ka legal tarika hai. Jo ki bahot powerful hai.
Google Drive se backlinks pane ke tarike bahot hi simple hai. Aur ise maine khud azmaya hua hai.
TOH CHALIYE JANTE HAI GOOGLE DRIVE SE, HIGH PR DOFOLLOW BACKLINK KAISE BANAYE:
How To Build Backlink From Google Drive
Aj kal log, google ke sare services ka labh utha rahe hai jaise ki : Youtube, Gmail, Google Drive.
Toh me ummid karta hun apke pas bhi Google Drive ka account jarur hoga. Agar apke pas account nahi hai toh, ap apne gmail id se Google drive me easily login kar sakte hai.
FOLLOW THESE STEPS TO CREATE BACKLINK FROM GOOGLE DRIVE:
1. Ek new Google Drive account open karo, agar apke pas nahi hai toh.
2. Apne Google Drive account ko open kijiye.
3. Fir Create>> Folder pe click karo.
4. Yaha par apko new folder create karna hai. Aur folder ka naam bhi dena hai. Jaise ki mene backlink name dala hai.
5. Uske baad is Folder ko as a public share karna hai.
6. Iska matlab apka folder public ho chukka hai. Aur koi bhi ise internet pe khol ke dekh sakta hai.
7. Fir apko apne PC me Notepad open karna hai. Aur is niche diye gaye code ko paste karna hai.
[code]
Generate Free Backlinks to your Website
Sikhe
hinglishblog
[/code]
8. Is code me mene apne blog ka URL hinglishblog.com dala hai. Use replace karke apko apne blog ka url dalna hai.
10. Uske baad apko backlink.html file ko Google drive ke Backlink folder me upload karna hai.
11. File upload ho jane ke baad, ap Details me click kare. Fir hosting ke niche wale link ko click kare.
Congratulations apne ek high PR Dofollow backlink bana liya hai. Woh bhi Google Drive PR8 se.
Toh dosto, yah tha Google Drive se backlink banana ka tarika. Joh ki bhot easy hai.
Aur mujhe puri ummid hai, jab apko yah backlink mil jayega toh, apka blog Google me accha rank karega.
Agar apko, mere dwara likha gaya yah post accha laga ho toh. Ise apne dosto ke sath jarur share kare.
Agar apko is post se related koi bhi question hai toh, ap mujhe niche comment box me puch sakte hon, me apko 24 hours ke andar reply jarur dunga.