Close

Bachho Ko Social Distancing Ke Baare Me Kaise Bataye

Bachho ko social distancing ke baare me kaise btaye

Adhikaansh logo ki tarah aap bhi sayad COVID-19 ya Coronavirus naam ki mahamaari se chintit hai aur khud ko aur apne priwar ko isse surakshit rakhna chahte hai. But social distancing ko apnana aur apne niji jiwan me lana bhi virus ko failne se rokne me kafi madadgar sabit hua hai. Isi tarah apko apne bachho ko bhi social distancing ke baare me bhi batana chahie.

1- Social Distancing (samajik duri) kyu jaruri hai – Apne bachho se puche ki unhe COVID-19 ke baare me kya pta hai. Wo eske baare me kaise mahsus karte hai. Agar wo kisi galat abt ya afwah par dhyan dete hai to unhe smjhaye aur COVID-19 ke baare me sahi jaankari de.

Social distancing kyu jaruri hai

2- Maahamari failne ke karan – Apne bacchho ko ye bhi smjhaye ki log bimar hone se pahle hi Coronavirus ko faila sakte hai. Isliye logo se duri bana kr rakhna chahie chaahe wo bimar dikhe ya na dikhe. Isase bachane ke liye hme apne hatho ho dhona bahut jaruri hai. Hath dhone se koi bhi virus khatam ho sakte hai.

Hath dhone ki aadat dalna

3 – Namste ki aadat dale – Coronavirus ke faile ka ek karan haandshake(hath milana) bhi hai. Hath milane se ye virus badi aasani se logo ko sankramit kar deta hai. To hme hath milane se bhi bachana hai aur hme Namste ki aadat dalni chahie. Namste krne se na sirf hum khud ko bacha sakte hai balki apni bhartiya sanskriti ko bhi badhawa de sakte hai.

Namste ki aadat daale

4 – Samaj me hone waale badlaw ke bare me btaye – COVID-19 ki wajah se bahut se badlaw aaye hai aur sayad bacche bhi es badlaw ko mahsus kar rahe hai. Unse is badlaw ke bare me bhi bat kare aur unhe smjhaye ki aise samay me unhe kya karna chahie aur kya nhi.

Samaj me hone wale badlaw k bare me btaye

5 – Bachho ki ghar par hi rahne ki salah den – Aise time me apke bachhe sayad ghar par rahna nahi psand krate hai isliye wo soch rhe honge ki apne dosto ke sath kyu nahi khel sakte hai. To unhe btaye ki saarvajnik sthanon par jaane par unke bimar hone aur bimari failne ka khatra badh jata hai. Isliye unhe ghar par rahne ki jyada jarurat hai.

Ghar pr hi rahne ki salah de

6 – Bachho ki padhai par bhi dhyan den – Is maahamari ki daur me bachho ki padhai na nuksan ho isliye unki padhai par bhi veshesh dhyan dena bhi pariwar ki jimmedari hai. Bachho ka homework pura karwaye aur dheere dheere sare chapter ka bhi revision karaye.

Bachho ki padhai par bhi dhyan den

7 – Bahar jaane par duri banaye rakhen – Agar kisi karan se apko ya bachho ko bahar jaana padha to jaise rashan lana ya fir subah ki sair(morning walk) par jaye to kam se kam 6 – 8 feet (1.8 – 2 meter) ki duri dusre logo se bana kar hi rahen . Aisa karne se virus un tak aasani se nahi pahuch pata hai.

8 – Boor hone se bachhe – Bachho ko aur khud ko boor hone se bachane ke liye ghar par kuch majedar khel bhi khel sakte hai. Isase bachho ka man bhi laga rahta hai aur sath dimag ka bhi vikash hota. sath hi gardening bhi kar sakte hai aur uski jankari bhi bachho ko de sakte hai.

Boor hone se bachhe

9 – Pariwaar aur bachho ke sath yaadgaar pal bnaye – Samajik duri(social distancing) ka ek fayda yah bhi hai ki aap apne pariwar aur bachho ke sath jyada samay bita rahen hote hai. To aise me aapke paas kuch yaadgar pal bhi ban jate hai.

pariwar ke sath samay bitaye

To dosto umeed hai apko mera yeh article psand aayega. Aur jankari ke liye aap mujhe comment me puch sakte hai.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top