Close

Sardi Waale Kaapdo Ko Kaise Store Kaare

Uni kapdo ko store kaise kare

Jaisa ki hum sabhi jante hai ki sardiya khatam ho chuki hai aur hamare jo woolen kapde hai unhe bhi rakhne ka time aa chuka hai. Lekin kabhi kabhi kaapdo ko aise hi rakh dete h aur jab thand ke mausam me un kapdo nikalte hai to unme se ek bahut ajib se badbu aati hai. To kaapdo ko es prakar ke badabu se bachane ke liye hume kis tarah ka saawdhaniya bartni chahie wo niche dee gyi hai.

1-Pahle apne aalmari aur kapdo ki safai karna – Sardiyo ke sare kapdo ko ekketha karke unhe achhe se dho lena chahie. Kyoki agar kapde saf nhi honge to unme kide aur fafundi lag kar kapdo ko kafi nuksan pahuchate hai. Esliye kapdo ko safai se dhokar achhe se dhup me sukha lena chahie aur fir unhe aalmari me rakhna chahie.

Aalmari ki safai krna

2- Thand waale jute ki safai aur polish karna – Thand se bachane ke liye thand waale ek alag hi tarah ke jute hote hai. Jab thand khatam ho jati hai tab unka bhi rakh rakhaw jaruri hota hai. To juto ko achhi tarah se saf karke, polish karke rakhna chaahie jisse jute salo salo tik jaate hai.

Jutoo ki safai karna

3 – Marammat ke liye bhi bheje – Aksar kapdo ko dhote dhote koi batan tut jata hai ya kapdo me thodi si tut fut ho jati hai. To hame aise kapdo ko thik karwa kar hi rakhna chahie, taaki agli baar jab in kapdo ko pahanne ke liye nikale to aisi presaniyo se dur rahe.

4 – Daan me bhi de sakte h kapde – Jin kapdo ko aap pahanna nhi chahte ya apko chote ho jate hai ya unhe bar bar pahna kar boor ho chuke hai to aise kapdo ko alag nikal kar rakh dijye aur kisi jaruratmand ko de sakte hai. Aisa krne se kapde use bhi ho jaate hai aur kisi ke kam bhi aa jaata hai.

Kapdo ko daan me dena

5 – Woolen Kapdo ko rakhne ka tarika – Woolen kapdo ko kabhi hanger me latka kar nhi rakhana chahie, esase kapde jaldi hi dheele ho jaate hai. Unee kapdo ko hamesa dhone ke bad jameen par faila kar sukhana chahie. Uake bad hi fold ya taah ;lagakar rakhna chahie.

Woolen kapdo ko rakhne ka tarika

6 – Choti choti chijo ko ekkatha rakhana – Jaisa ki sardiya khatam ho rhi hai to woolen topi, dastano ka bhi kam khatam ho rha hai. Eslie aisi chijo ko ekpaas kisi box ya aalmari ke daraj me ek sath rakhana chahie jisase unhe dobara na dundhna pada.

7 – Rajai aur kambalo ka rakh rakhaw – Thand khatam hone k bad rajai aur kambalo ko achhe se dhup me 5-6 ghante j liye sukh le aur agar unme koi dag dhabbe lage ho to unhe bhi thande pani se dho kar sukha le.Rjai ya kambal ko rakhte time newspaper me fold karke rakhna chahie jisse usme agr koi nami ho to paper use sokha leta h.

Newspaper ka istemal karna

8 – Finayal ki goli ka pyayog karna – Woolen kapdo ko badbu se bachane ke liye finayal ki goli kisi kapde me bandhkar woolen kapdo ke niche ya bagl me dal dena chahie.

To dosto umeed hai apko ye tips pasand aaye aur agaar koi sawal ho to aap comment me mujhse puch sakte h.


 

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top