Close

Dhan Prapti Ke Upay : धन की वर्षा करती है माँ लक्ष्मी Apne Purse Me Rakhhe Yah 8 Chije

Dhan Parpti ke liye yah 8 chije apne purse me jarur rakhhe धन की वर्षा करती है माँ लक्ष्मी

Aisa koi bhi vyakti is sansar me nahi hoga, jise dhan prapti ki ichcha na ho. Dhan sampada ek aise mulyaban vastu hai jiske bina jeewan yapan karna mushkil hai. Chahe koi vyakti dhanwan ya fir garib kyon na hon sabhi dhan prati ke liye jee-jaan se jute rahte hai.

Sukh, samridhi aur aiso-aram ki jindgi kon nahi cahta, lakin dhan ki kami insan ko durbal, garib aur kamjor bana deta hai. Isliye koi bhi insan ke pas itna dhan toh hona hi chahiye ki wah apne sari jaruraton ko pura kar sake aur samaj me maan-samman pratp kar sake.

Dosto aj me apko vastu shastra ke anusar aise 9 vastuyon ke bare me batane ja raha hun, jise purse me rakhne matra se hi dhan ki kami door ho jati hai. Apka purse humesha bhara rahega aur ap dhani bane rahenge. Apko kabhi bhi dhan ki kami nahi hogi aur jarurat ke anusar apko dhan milta hi rahega.

1. Jaisa ki hum sab jante hai Ma Lakshmi dhan ki devi hai. Jaha bhi unka vas hota hai wahi dhan ki varsha hone lagti hai. Isliye apne purse me Ma Lakshmi ki ek tasvir jarur rakhe, tasvir  kuch is prakar ka hona chahiye – jisme wah baithi huie hon aur dhan ka ashirwad de rahi hon.

2. Shri Yantra: Shastro ke anusar shir yantra ko Ma Lakshmi ka hi swaroop btaya gaya hai. Ek chota sa shri yantra lekar use apne ghar ke pooja sthan me rakh vidhi purbak puja –archana karke purse me rakhne se Ma Lakshmi prasann hoti hai aur dhan prapti ke sabhi marg khol deti hai.

3. Pipal ka patta: – shastro ke ausar pipal ka pedh bhot hi siddhi dayak aur subh mana gaya hai. Isliye hindu dharm me ise puja jata hai. Aisa mana jata hai kisi subh muhrat par pipal ke patte ko Ma laskhmi ji ke mantra se abhi mantrit kar, agar apne purse me rakha jaye toh sari daridrita door ho jati hai aur dhan ki parpti hone lagti hai.

4. Chawal:- Sashtro me chawal ko bhi bhot ucha sthan diya gaya hai. Koi bhi subh kam aur puja me iska proyog kiya jata hai. Anaj dhan ke saman hai, islye kuch chawal ke dane lekar mandir me Ma Lakshmi ji ke pass rakh de aur unse prathna karke chawaal ko apne purse me rakh le. Aisa karne se anchahe kharche kam hote hai aur dhan apke pas thaharta hai.

5. Lal rang ka kagaj: Yah ek prakar ka achuk totka hai, jiska istemal ap dhan prapti ke liye bhi kar sakte hai. Apko karna yah hai ki, kisi lal rang ke kagaj ke tukre par apni man chahi kamna likh kar use lal rang ke reshmi dhage se bandh lijiye fir use apne purse ne rakh lijiye aisa karne par apki man chahi ichcha purn ho jati hai.

6. Jyotish shasta ke unusar Kuch vastuyen aise bhi hoti hai jinka upyog hum dhan prapti ke liye kar sakte hai jaise chota sa chaku, kowri ya fir gomti chakra ko purse me rakhne se dhan ki prapti hoti hai.

7. Ma Lakshmi ji ko sona, chandi jaise dhatuyen behad pasand hai. Agar apke pas koi chandi ya fir sone ka sikka pada hai toh use ghar ke mandir me Ma Lakshmi ke pas rakh kar kuch dino tak pooja kare. Uske baad use apne purse me rakh le aisa karne par ap pe apne aap dhan ki varsha hone lagegi.

8. Ma Lakshmi Yantra: yah koi sadharan yantra nahi hai, ise shakshat Ma Lakshmi ka hi swaroop mana gaya hai. Koi bhi vyakti is yantra ko Devi Lakshmi ji ke mantra se abhi mantrit karke apne purse me rakhe toh, wah avasya hi dhanwan ban sakta hai.

Dosto agar apko yah article pasand aya ho toh ise  apne dosto , parijano aur shathiyon  ke sath share karna na bhule, kya pata apke dwara share kiya hua yah article kisi jarurat mand vyakti ke kaam aa jaye aur wah bhi iska labh utha paye.


Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top