Close

Self Confidence Kaise Badhaye 7 Best Tips In Hindi

Aatmvishwas Kaise Prapt Kare

Jivan Me Safal Kaise Bane Confidence Kaise Badhaye

Confidence kaise badhaye? Jivan me safalta prapt karne ke liye, humare andar Atmavishwas ka hona behad jaruri hai. Jin logo ke pas self-confidence hota hai wah apne jeevan me humesha khush rahte hai aur saapno ko sakar bhi karte hai. Aise log apne future ko laker bhi positive rahte hai aur jivan ke har ek shetra me safalta prapt karte hai.

Wahi kuch log aise bhi hai jinke pass self-confidence ki kami hoti hai. Unke maan me apne aap ko lekar daar bana rehta hai ki wah jivan me kya karenge, aage kaise badhenge. Kisi bhi kaam ko lekar unke man me negative feelings hi aati hai. Aise me wah aapne jivan me safal nahi ho pate hai aur dusre logo se piche rah jate hai.

Lakin doso acchi baat yah hai ki self-confidence humare bicharo se utpann hota hai. Agar aap apne vicharo me badlav late hai toh aap bhi apna self-confidance aasani se badha sakte hai aur aapne jivan ke har ek uchaiyon ko chhu sakte hai. Toh chaliye jante hai self-confidence kaise badhaye.

Negative thoughts yani nakaratmak soch ko pehchane:

Aap maan hi maan sochte honge: – mujhe koi pasand nahi karta, me yah kaam kaise karunga, meri toh kismat hi kharab hai aur bhi na jane kya-kya. Sabse pehle aapne negative thoughts par kaabu pana sikhe aur unhe positive thoughts me badalne ki koshis kare. Apne maan se bure vicharo ko door hata kar aisa sochna shuru kare ki koi bhi kaam aashambhav nahi hai, me yah kaam kar sakta hun. Me ek accha insan hun aur  mujhe sabhi pasand karte hai. Baar- baar aisa sochne se aapke man me positivity ana shuru ho jayega aur aapka self-confidence bhi badhna shuru ho jayega.

Koi bhi kaam shuru karne se pehle aapke maan me dher sare negative bichar aate hai. Jiske karan aap har baar aasafal ho jate hai, lakin sach to yah hai ki ek positive soch negative soch kahi guna jyada powerful hota hai. Isliye aapne dimag ko khula chodh kar humesha accha hi soche jaise me yah kaam kar sakta hun aur mujhe isme safalt bhi prapt hoga. Dosto confidence ke sath koi bhi kaam shuru karne se humare success ke changes 50% tak badh jata hai.

Humesha Aache Aur Positive Logo Ke Sangat Me Rahe: –

Dosto is duniyan me jyadtar log negative bicharo wale hai. Joh humesha aapki burai karte hai, aapko niche dikhate hai ya fir aapke kabiliyat par shaak karke aapko bura bhala bolte hai. Isliye humesha aise logo, ristedaro aur dosto se door hin rehna chahiye. Aise log aapke maan me bure bichar bhar kar aapka self-confidence kam kar dete hai.

Aab aapko tay karna hoga ki aise kon se log hai joh aapko humesha badhaba dete hai, joh aapko samjhte hai, joh aapke behad karib hai wah koi bhi ho sakta hai aapke mummy, papa, best friend ya fir koi relatives. Kosis kare ki aap jayda se jayda aise logo ke sangat me hin rahe aisa karne par aapke andar self-confidence develop hoga aur aap aapne jivan me khush rahenge.

Aapne Talent Ko Pehchane: –

Dosto hum sabhi me koi na koi chhupa hua talent hota hin hai. Jise karne me aapko bhot maza ata hai aur aap usme mahir bhi hote hon jaise drawing, singing, dance, sports, writing, jokes etc.

Isliye aapne andar chupe hue hunar ko pehchanne ki kosis kare aur use jyada se jayda karne ki kosis kare. Aisa karne se aapka self-confidence badhta hai aur app apne talent ke bal-bute jivan me jaldi se safalta bhi prapt kar pate hai.

Koi bhi kaam jab hum pure man se ji jaan laga kar karte hai. Hume safalta jarur milti hai aur log humari tarif bhi karte hai jiske karan aapka jivan khushiyon se bhar jata hai.

Apne aap ko dusro ke sath compare karna  band kare: –

Dosto hum sabhi ko upar wale ne alag-alag banaya hai. Aise me kuch log apne aap ko dusro ke sath tulna karna shuru kar dete hai jaise wah mujhe dikhne me accha hai, mere pass uske jaise bike nahi hai, mere andar uske jaisa talent nahi hai aur bhi na jane kya-kya.

Apne aap ko dusro ke sath compare karne se aapke man me negative bichar hin aayenge. Apne andar ki aachahiyon ko pehchan kar man hi man khus rahne ki kosis kare kyon ki aap khus rahenge toh man me bure bichar nahi aayenge.

Dosto dusro ke pass kya hai aur kya nahi hai usse aapko koi fark nahi padhna chahiye. Aapke liye joh maine rakhta hai who hai sirf aapki khusi, jeevan me mahnat karke aapne aap ko aisa banao ki log aapki taarif kare aur wah apne aap ko aap se compare kare.

Man me chhupe hue daar ko door kare: –

Kuch log apne vichar dusro ko nahi jata pate hai, wah darte hai ki log kya sochenge. Lakin joh sach hai wah sach hi rahega isliye humesha nidar hokar apne vichar prakat karna chahiye, agar aap sahi hai toh log apne aap hi aapki respect karna chalu kar denge.

Yah jaruri nahi ki aapke dwara kiya gaya har ek kaam safal hon jaye. Jivan me hum sabhi se galtiyan hoti hai, isliye aapko humesha aapne purani galtiyon se sikhna chahiye aur apne aap ko behtar se behtar banana chahiye.

Kuch logo ke man me purane jakham yani buri yaade hoti hai, joh unhe jivan me aage badhne se rokti hai. aise halat me aapko yah samjh lena chahiye ki joh beet gaya so beet gaya hum beete hue kal ko nahi sudhar sakte hai, lakin hum aapne aane wale bhabishya ko jarur sudhar sakte hai. islye aise koi bhi purani yaade joh aapko taklif deti hai unhe jadh se mita daliye aur aapne aap ko ek majhboot insan banana ki koshis kare.

Apne behavior ko badle:-

Humesha dusro ke sath accha bartav kare, kisi ke bare me negative na bole, hamesha dusro ki tariff kare. Jab koi aapki help kare toh use thank you jarur bole. Ek jinda dil aur khushnuma insaan banne ki kosis kare aisa karne par aap dekhenge ki dhire-dhire log aapko pasand karne lage hai aur charo taraf aapki wah-wahi hogi.

Apne aap ko pehle se behtar banana ki kosis kare, kuch aisa kare jisse aapki personality me sudhar aye aur aapko khushi de jaise ki acche aur dhang se kapde pahne, accha hair style maintain kare, aapne aap ko humesha saaf sutra rakhe aisa karne par aapka self-confidence aapne aap hi badhne lagega.

Daily exercise karne ki aadat dale kyon ki ek swasth tan hi swasth man ko bana sakta. Exercise karne se aapke body me energy bana rahta hai aur aapke maan me chusti furti rahti hai.

Humesha acche se nind kare, aisa dekha gaya hai joh log thik se nind nahi karte hai wah aaksar chidh chide swabhav ke ho jate hai aur unhe koi bhi kaam karne me maza nahi ata. Sahi dhang se nind karne se aap ek dam fresh mehsus karte hai aur aapka har ek kaam me man lagta hai.

Jitna ho sake dusro ki madad karne ki koshis kare, aap jitna dusro ki madad karenge aap utne hi khus rahenge aur aapka confidence badhne ke sath-sath log aapki taarif bhi karenge.

Apne liye Goal set kare aur Jeevan Me Risk Lena sikhe:-

Life goal

Goal set karne ke liye aap koi diary ya notebook ka istemal kar sakte hai. aapne liye chote-chote goals set kijiye jise aapko karne me aasani hon. aap apne goal ko pura kar le tab use diary me likh lena chahiye aisa karne par aapka self-confidence badhega aur aap apne life ke bade se dada goal bhi jaldi se achive kar payenge. Life me risk lena sikhiye chahe jeet hon ya haar usse koi fark nahi padhta aapka dhayn sirf aur sirf aapke lakhsya par hin hona chahiye.

Toh dosto  mujhe puri ummid hai agar aap upar diye gaye baton ko acche se follow karoge to aapka self- confidence jarur improve hoga aur aap ek kamyab insan ke roop me apni pehchan bana payenge.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top