Parsley In Hindi Ajamod Khane Ke Labh
Parsley Jise Hindi me अजमोद (ajmod) bhi kaha jata hai aur yah bhoomadhy me paya jane wala jadee bootee hai. Joh ki bilkul dhaniya patte ke tarah dikhne me hota hai. Aam tor par log ise khane ke plate ko sazane ya garnish karne ke liye use karte hai. Lakin ise khan eke adhbut Fyde bhi hai jinke bare me shayad aapko pata na hon. To chaliya jante hai Parsley / ajmod khane ke swast
1. Cancer Ke Risk Ko Kam Karta Hai- Parsley in Hindi
Diet me Parsley ko shamil karne se cancer hone ke chances kam ho jate hai. Jin logo ko skin, alimentary canal, breast and prostate cancer hota hai unhe ajmod ka sevan jarur karna chaiye. Parsley me “Flavonoid” aur “Apigenin” naamak cancer rodhak tatwa paya jata hai. Joh ke hamare sharir me badhte hue cancer ke cells ko nasht karke hame swasth rahne me help karta hai.
2. Immune System – Pratirodhak Shamta Ko Badhata Hai
Parsley sharir ke pratirodhak shamta ko badha kar trah-trah ke bimariyon se ladne me hamari maddad karta hai. Jaise sardi, khasi, jukham, bukhar aadi.
3. Jodo Ke Dard Aur Sujan Ko Kam Karta Hai
Parsley body me hone wale pain aur swelling ko kam karta hai kyon ki isme ek prakar ka tel paya jata hai jise “eugenol” kahte hai, joh ki hame joints me hone wale dard ko kam karne me help karta hai.
4. Poshak Tatwa – Parsley Benefits in Hindi
Ajmod me bhot sare antioxidants ka mishran paya jata hai jaise – flavonoid anti-oxidants apiin, apigenin, crisoeriol, and luteolin. Joh ki hamare heart yani hirday ko swasth rakhne me behad labhkari hai.
5. Rog Se Ladhne Ki Shamta
Ajmod hame bhayanak bimari jaise – diabetes, atherosclerosis and colon cancer se laker asthma jaise bari-bari bimariyon se ladne me help karta hai.
6. Rakt Vaahikayon Ko Swasth Rakhta Hai
Parsley me B vitamins: folic acid ki matra adhik payi jati hai joh ki “Homocysteine” ko kam karne me help karta hai. “Homocysteine” joh ki ek tarah ka amino acid hai jiski marta agar khoon me badh jaye toh hame heart attack aur strock bhi ho sakta hai. Isliye dil ke marizo ke liye ajmod ek labh kari jaadibooti hai.
7. Mootra Maarg Mein Sankraman
Aksar logo ko peshab karte wakt jalan hoti hai, ya fir pila peshab ana, nichle pet me dard ya jalan ka aisas aise me ajmod ka sevan karne se urine se sambandhit pareshaniyon se chutkara mil jata hai.
8. Body detox – Sharir Ki Shuddhikaran
Ajmod me “Apigenin” and “Myristicin” namak tatwa paya jata hai, joh hamare liver ko majhboot bana kar pachan tantra ko Shakti pradan karti hai. Iske sath-sath yah hamare khoon me vishayle padharton ko nikal kar khoon saaf karne me bhi maddad karta hai.
10. Parsley in Hindi – Jeevanu nashak
Ajmod me “Chlorophyll” ki marta bhot payi jati hai aur yah ek antibacterial tatwa hai joh ki bacteria aur jeevanu se hone wale sankraman se hame bachata hai. Iske sath-sath “Chlorophyll” hamare body me lal rakt kosikayon ko bhi dadhata hai
Toh dosto agar aap ajmod ka sevan karte hai toh, apko bhi mil sakta hai yah 9 labh. Aap kisi bhi baidhya ya aayurved ke dukan me jakar ajmod kharid sakte hai. Wasie iske hare patte ka sevan karna jayda accha rahta hai. .
.