Padhai Kaise Kare Study Tips in Hindi.
Padhai kaise kare, Study karne ka sahi tarika kya hai? Har student ke man me ek hin tarah ka bichar ata hai. Mera padhai me man kyon nahi lagta aur agar me padhi karta bhi hun toh mujhe exam me acche marks kyon nahi aate. Toh dosto aj me aapko padhai karne ka sahi tarika batane jar raha hun. Jisse aapke maan me baithe padhai ka daar door ho jayega aur aap exams me acche marks score karke aapne jivan me safal ho paoge.
Mera yakin maniye padhai me koi bhi kamjor nahi hota hai, bus kamjori aapke iccha shakti mein hai. Wahi kuch log maan laga kar padhte toh hai lakin pariksha ke time pe wah sab kuch bhul jate hai. Iska ek hi karan hai aapke maan me baitha padhaie ka daar aur tension.
Toh chaliye jante hai sahi dhang se padai kaise kiya jaye jisse aap hamesha tension free hokar exam mein acche se accha marks la sake.
Padhai shuru karne se pehle ek solid plan banaye:
Kuch students Pure saal bhar na padh kar exams se ek ya doh din pehle padhna shuru karte hai. Jiske karan unki padhai adhuri rah jati hai aur exams me acche marks nahi la pate hai. Pure saal bhar ki padhai ek ya do din me khatam nahi kiya ja sakta isliye academic year ke shuruwat se hi plan bana kar padhna shuru kar dena chahiye.
Har ek subjects ke liye alag-alag note books banaye. Jitne bhi important questions hai unhe yaad karne ke baad hi note books me likh kar rakhe. Taki exam ane se pahle aapke dwara likhe gaye notes ko aap fir se revise kar sake.
Padhte wakt humesha apne pas pen, pencil ya fir highlighter rakhna chahiye, joh bhi important points hon use underline kar dene se aapko jaldi se yaad karne me aasani hogi.
Humesha apne sath ek rough notebook bhi rakkhe, likh-likh kar yaad karne ki aadat dale. Aap joh bhi sawal yaad karte hai use 1 ya 2 baar bina dekhe likhne ki koshis kare. Aap jitna likh kar yaad karenge appko utna hi accha yaad hoga.
Rough notebook me likh kar padhai karne se 3 tarah ke fyde hote hai. 1 toh aapki likhne ki speed badhegi, 2 apke handwriting me bhi sudhar ayega, 3 padhi huie chije aapko lambe samay tak yaad bhi rahega.
Padhai ke liye time table set kare:
Ek accha student banne ke liye daily padhna jaruri hai. Mein yah nahi kah raha ki aap daily 7 se 8 ghanta padhe balki daily 4 se 5 ghante acche se man laga kar padhe. Isliye aap ek paper mein time table bana lijiye jisme har ek subjets ko shamil kare aur kon se subject ko kitna time dena hai sunishcit kare.
Daily ek hi samay par padhne ki aadat dale. Padhai karne ke liye subah aur sham ka wakt accha rahta hai kyon ki us wakt maan shant rehta hai aur aap padhai me acche se concentrate kar pate hon.
Maan mein hin padhai ke liye sankalp le lena chaiye aur har roz sahi samay par padhne baithna chahiye. Study karne ke liye apne sahuliyat ke hisab se time fix kar lena chahiye. Jis samay aap padhne baithe us samay aapna dhyan kisi aur traf na karke, dusre sare kaamon ko side me rakh kar sirf aur sirf padhai ki traf hi dhyan lagana chahiye.
Padhai ke liye accha mahol kaise banaye:
Padhai kaise kare: Lambe samay tak yaad rakhne ke liye maan shant aur ekagra hona chahiye. Isliye hamesha asie jagah par padhai kare, jaha ka mahol shant hon taki aapko koi disturb na kar sake.
Padhai shuru karne se pehle 5 minute apne aankhe band karke meditation (Dhyan) karna chahiye, aisa karne se aapka man sthir ho jayega aur padhi me acche se maan bhi laga rahega.
Kuch students ko let-let kar padhne ki aadat hoti joh ki bilkul bhi sahi nahi hai. Let kar padhai karne se hamare anadar susti ane lagti hai aur aise me hume aksar nind bhi aa jati hai.
Wahi kuch aise students bhi hai jinko T.V. ke samne baith kar padhai karne ki aadat hoti hai. Behtar yahi hoga ki aap t.v. band karke hin padhe kyon ki aapka aadha dyan t.v. ki traf aur aadha padhai ki taraf hone ke karan aapko acche se yaad nahi hota aur aapka, padha hua jaldi bhul jate hon.
Lambe samay tak padhne ke liye humesha table aur chair ka upyog karna chahiye jise hum study table bhi kahte hai. Koi bhi insaan farsh aur sofe ke mukable normal chair par jayda der tak baith kar padhai kar sakta hai. Kyon ki table aur chair ka upyog karne se hamari ridh ki haddi ek dam sidha rehne ke sath-sath sharir me kisi bhi tarah ka dard aur aakran mesus nahi hota.
Exam (pariksha) se pehle padhai kaise kare: –
Jaisa ki mene pahle hi kaha hai, kuch students exam ane se ek ya doh din pahle padhai shuru karte hai. Jiske karan unke maan me tanav badh jata hai. Ek hi din me sab kuch yaad karne ke chakkar me wah sab kuch bhul jate hai. Aur exams me wah kuch bhi likh nahi pate hai. Isliye aaj me aapko exams se pehle apne aap ko sahi dhang se kaise tayiyar karte hai uske bare me batane ja raha hun joh kuch is prakar hai.
Hume koi bhi exam ki tayiyari ek hafte pahle se hi shuru kar deni chahiye, pure kitab ko na padh kar sirf aur sirf important points joh aapne note books me likha hua hai use hi revise karna chahiye taki apne purana joh bhi padha hai wah aapko fir se yaad aa jaye.
Exam ke pehle wale raat ko jayda der tak na padhte hue hume jaldi se so jana chahiye, taki subah jab aap exam dene ke liye uthe aapka maan ek dam fresh ho.
Exam wale din subah jaldi uth kar padhi hue chijo ko fir se halka-halka yaad karna chaiye mera matlab ek baar nazar ghuma lena chahiye.
Exam se pehle apne aap ko jitna shant rakh sakte hon utna shant rakhe, aur tension free hokar exam dena chiaye. Mujhe puri ummid hai agar apne mere dwara bataye gaye baton ko acche se follow kiya hai toh, aap apne priksha me acche se accha marks la sakte hon.
Toh dosto me asha karta hun ki aapko mere dwara likha gaya yah article accha laga hoga. Agar aapke man me ksisi bhi tarah ka swal hon toh aap mujhe niche comment box me puch sakte hai. aap jivan me padh likh kar kamyab bane yahi meri dil se gujarish hai. Is lekh ko padhne ke liye dhanyabaad.