Meditation Kaise Kare Hindi
Meditation Kaise Kare In Hindi – ध्यान कैसे करें
Meditation kaise kare aapne suna hi hoga joh man ko kabu kar leta hai wah puri duniyan jeet sakta hai. Meditation karna yani dhyan lagana, akhir ham dhyan kyon lagate hai? jabab salar hai apne man ko kabu kar anduruni chetna ko uche star pe leke jana taki ham apne jeevan ko safal bana sake aur jeevan ke har shetra me kamyab hokar shanti sthapit kar sake. Toh chaliye jante hai meditation kaise kare.
Sabse pahle acchi jagah ka chunav kare:
Meditation kaise kare, dhyan lagane ke liye sabse pehle aap kisi acche jagah ka chayan kare. Jaha aapko koi disturb ya preshan na kar sakte. Aise jagah chune jaha ka vatavaran shant ho taki aap sahi dhang se dhyan laga sake. Akele me dhyan karna sabse accha mana jata hai. Taki aap khud ke vikas ke liye kuch wakt nikal sake chahe voh 5 minute ya fir 1 ghante kyon na hon. Isliye dhayn karne se pehle ek acche sthaan ko chunna behad jaruri hai.
Mediation karne ke liye aap khule khet, kisi park, bade ped ke niche, koi shant karma ya fir kisi nadi kinare ka sthaan chune. Jagah jitna natural hoga utna hi accha dhyan lagega. Yaha par gour karne ke baat yah hai ki aap koi bhi aise vastu ka upyog na kare joh aapka dyan bhang kar de jaise T.V, mobile, radio ityadi. Halaki aap meditation karte wakt halka aur kam dhwani vala madhur saangit sun sakte hai, joh ki apke man ko jaldi shant karne me madad karta hai.
Halke aur khule hue yoga ke kapde pahne:
Meditation kaise kare, man ko shant rakhne ke liye aap hamesha halke aur dhile kapdo ka upyog kare. Kyon ki kai baar tight aur tang kapdo mein hame preshani hoti hai. joh ki aapko dhyan se bichlit kar sakti hai. Isliye humesha apne aap ko halka banaye rakhne se koshis kare. Han agar mousam sardiyon ka hon toh aap mote aur garam kapde pahan sakte hai.
Aapne aap ko dhyan ke liye tayiyar kare:
Dhyan lagane se pehle aapne aap ko chinta mukt kar lena chahiye. Jaisa ki ap jante hi hai, hamara man bhot chanchal hota hai. Wah hamesha kuch na kuch sochte hi rahta hai. Na jane kitne prakar ke soch humare man ko jakadh kar rakti hai jaise mujhe office jana hai, 10 minute me kam khatam karna hai, mujhe market me jana hai aur bhi na jane kya-kya. Isliye hamesha dhayn karne se pehle apne man ko tension mukt kar lena chahiye. Koshis kare ki aap kuch bhi aisa na soche jisse apka dhyan bhang ho jaye.
Aaramdayak sthiti main baithe:
Meditation kaise kare, dhyan lagane ke liye sukh aasan ki sthiti ko uttam mana gaya hai. Sukh aasan ka matlab aise stihti jisme apko sukh ka anubhav hon. Yah jaruri nahi hai ki aap hamesha dhyan lagane ke liye jameen main pair modh kar hi baithe. Aap kursi me baith kar bhi dhyan laga sakte hai.
Meditation kaise shuru kare?
Dyan se pehle, hame halka stretching kar lena chahiye jaise ki aapne garden ko dhire-dhire aage piche upar niche ghumakar, thik usi prakar aapne kandho ko bhi ghumaye. Stretching hon jane ke baad, ridh ki haddi yani peeth ko sikha karke baith jaye aur apne aap ko aage ki aur halka sa jhuka lena cahiye.
Dhyan lagane ki parikriya:
Dhyan do prakar se lagaya ja skata hai, pahla hai ankhe khol kar kisi bindu ya vastu par dhyan kendrit karna aur dusra hai ankhe band karke aapne aage chakra yani dono aankho beech dhyan kendrit karna. Aap dono me se koi bhi prakar ka chunav kare aur dhyan shuru kare. Ab sabse jaruri baat dhayn karte wakt apne sans ko kaabu me rakhe na jayda tez sans le na jayda dheeme. Thori der dhyan kendrit karne ke baad aap mehsus karnege ki ap ki sanse dhime chalne lagi hai yani aap dhyan aavastha me chale gaye hai ab aapka man shant aur aap shanti ka aanubav kar payenge.