Close

Kaise kare balo ko Lamba Aur Ghana – Baal Lambe Karne Ka Oil

balo ko ghana kaise kare

kaise kare balo ko lamba ghana aur majboot

balo ko ghana kaise kare

kaise kare balo ko lamba ghana aur majboot

Sabhi ko yahi cahat hota hai ki, unke baal lambe, kale or majboot bane. Kaise kare balo ko lamba? to chaliye aj me apko kuch Gharelu upay batane ja raha hu jiske pryog se apke hairs black and silky hone ke sath-sath lamba or majboot bhi banega.


Methi ka Pryog

Methi ke dane ko piss kar balo me lagaye, ap ise apne tel ke sath bhi laga sakte hai usse apke baal lambe hone.

Jaitun ka Tel

Hafte me ek baar jaitun ka tel jarur lagaye, usse balo ko majbooti milti hai or baal lambe, ghane hote hai.

Pyaz (onion)

Pyaz ka raas lagane se balo ka jharna kum hota hai or baal kale hote hai.

Kele (banana) or nibu (lemon)

Kele or nimbu ke Raas ko milakar balo me lagane  se baalo ka jhadna kum hota hai.

Chai Patti ka Pryog

Chai Patti ko pani me ubal kar use thanda kar le, thanda hone ke baad, us pani ko hafte me ek baar jarur layege apne bolo me. Is se balo me chamak ayegi or baalo ka rang dark hoga.

Agar hum sundarta ki baat kare toh, humara face aur humare baal (hairs) bhot important role nibhate hai.

Jab koi bhi byakti (person) apko pehli baar dekhta hai toh, uski pehli nazar apke chehre or balo par hi padhti hai.

Isliye hum aaj apko balo ki care (hair care) kaise karte hai us bare me batayenge.

Balo ka Dhyan kaise Rakhe – Hair Care Tips in Hindi

Sabse pehle hum apko ye bata dain ki, ye joh tips hum pako dene ja rahe hai, is se apke baal rato-rat nahi badh jayenge.

khas kar sharir yani health kain mamle me hume sabhdhani baratni chahiye. Mera matlab yah hai ki aap jab in tips ko follow kare toh syiyam aur dhiraz banaye rakhe.

Humare sharir me badlaw ane me time lagta hai, jaisa hota hai waisa naturally hone dain or in tips par pura biswas rakhiye or khus rahiyen.

Kaise kare balo ko lamba:- In Tips Ko Follow Kare

Natural Product Use kare: aj kal market me bhot sari artificial chemical wali products milta hai jisse humare baal, bhot jaldi silky(reshmi), shine (chamkdar) ban jate hai.

Lakin me apko aj ek baat bata dun ki ye sabhi products results toh bhot jaldi dete hai, par lambe samay tak inka istamaal karne se apke baal bhot hi jaldi jhar jayenge (hair fall) or rukhe sukhe ho jayenge (dry hair).

Agar hume balo ko lamba karna hai toh, sabse pehle hume use jharne se rokna hoga aur majboot banana hoga.

1. Prakitik tel (Natural oil) Use kare:

  • Tel lagane se humare balo ko jaruri protein milta hai jise wah soft or healthy banta hai.
  • Tel kis trah lagaye: sabse pehle apne hatho me thore se tel ko maal le fir dhire dhire use apne sar par male ya fir malish kare (hair oil massage).
  • Tel se champi ya fir malish kuch is trah kare ki oil pure balon me faail jaye or use ap kum se kum 1 se 3 ghanto tak rehne de. Uske baad ap apne baal normal pani ya shmapoo se dho sakte hai.

2. Natural shampoo: apko humesha shampoo kharidne se pehle ye dekh lena chiye ki usme harsh chemical na hon, yani saste shampoo ko na le, balki mahenge or acche brand ka hi le.

kosis kare ki woh natural ho jisse apke balo par koi bura prabhab (side effect) na pare, aur ek saptah me ap jyada se jyada tin baar baal dhoye, shampoo k adhik upyog karne se baal kharaab (hair damage) ho skata hai.

3. Acche conditioner use kare: har baar shampoo karne kain baad apne baal acche conditioner se dhoye. taki apke balo ki majbuti or chamak bani rahe.

Acche brand kain conditioner use karne se balo me ek protection layer ban jati hai, jisse apke balo me dhul kum jam pati hai aur kadi dhoop ki kirno se apke baal surakhshit rehte hai.

4. Acchi kangi ka use kare (hair comb): yaha par acche se yah matlab hai ki, ap bhot barik kangi ka istemaal na kare, kyon ki uske istemaal se apke baal fass jate hai aur jayda jharte hai.

Isliye khule hue yani brush jaise kangi ka prayog kare usse apke baal kangi me kum fasenge or unhe halta sa massage bhi mil jata hai.

5. Accha ahar lain: apne khan pan ka pura dhyan rakhna bhi jaruri hai, kyon ki accha ahar hi sawast jiban ka adhar hai.

Is Article ko Jarur Padhe: Protein Kis se Milta Hai

protein: Jyada se jyada protien yukt ahar khaye, agar ap sakahari (vegetarian) hai toh chana, soyabean, paneer ityadi ka sevan kare.

Agar ap masahari (non vegetarian) hai toh anda (egg), chicken, mutton aur machli (fish) khaye.

Protein lene se sharir me acche cells bante hai, jisse apke baal, nakhun, or twacha (skin) me glow ata hai.

Kaise kare balo ko lamba :- Tips for long black hairs

6. Aamla ka prayog: jaisa hum sabhi jante hai ki, aamla balo kain liye shanjibni booti se kum nahi hai.

Humare purane grangth me rishi muniyon ne iske bhot se labh bataye hai, aur aamla istemaal karne se sabse jyada labh balon ko hi hota hai.

Aamla ko kaise use kare: Sabse pehle kuch sukhe hue amla kon pish kar pouder bana le, fir use apne balo me lagane wale tel me daal kar halka sa garam kar lain or fir use apne balo me lagaye.

Aamle ka juice: aj kal market me iska juice bhi milta hai jise ap apne balo me direct laga bhi skate hai ya fir ap use pi bhi skate hai, dhyan rakhe juice pine layak ho, dukandaar se puch lain kharidne se pehle.

Iske istemaal se apke baal kuch hafto me kale or ghane ho jayenge, jiske karan apke baal jayda lamba or majboot banega.

7. Tension Free Rahe: Bal lamba na hone ka ek mukhya karan tension bhi hai, agar apko hyper tension rehta hai toh apke bal jyada jharte hai, jisse apka baal patla or chota ho jate hai.

Rojh meditation yani dhyan kare taki apka man shant ho, aur ap pranayam bhi kare usse apke sharir me blood circulation (khun ka prabah) accha hota hai jisse apke baal kam jharenge.

Kaise kare balo ko lamba is topic kon me yahi samapt karta hu agar apko koi bhi ya kisi bhi prakar ki jankari ya help ki jarurat hon toh mujhe ap niche comment box me puch sakte hai, main apko 24 ghanto kain bhitar jabab dene ki kosis karunga.

Agar apko ye tips acche lage ho, toh kripya karke apne dosto se bhi ise facebook, twiter ya fir google plus me ise share kare.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

2 Comments

Comments are closed.

2 Comments
scroll to top