7 AMAZING FOODS AND DIET FOR INCREASING HEIGHT
Acchi personality maintain karne ke liye height bhot important factor hai. Aksar chote kad wale log apne kam height hone ke chalte dukhi rahte hai aur apne ap ko kamjor mehsus karte hai. Jab wah apne se lambe logo se milte hai wah man hi man apne ap ko koste hai.
Waise to market me bhot se products available hai joh height increase karne ka dawa karte hai. Lakin sahi maino me un me se koi bhi thi se kam nahi karta hai. Sach baat toh yah hai ki height ka badhna apke Genes, Diet Plan and Exercise pe depend karta hai. Agar height badhne ki baat hai toh ladko me height 20 saal ke baad bhi badhta rahta hai aur ladkiyon me 19 saal tak hi badhta hai.
Humare body me (HGH) naam ka ek hormore hota hai joh hamare body aur height ko badhne me help karta hai. Isliye hume apne diet plan me aise aahar ko shamil karna chahiye joh (HGH) yani human groth hormone ko jyada banne me help kare.
LIST OF HEIGHT INCREASING FOODS:-
Jaisa ki mene apko pahle hi kaha hai ki height genetically badhta hai. Lakin height na badhne ke piche aur bhi bhot se karan hai jaise ki, acche diet ki kami aur exercise ki kami. Body aur height ko badhne ke liye acche balance diet ki jarurat hoti hai khas kar tab, jab hamari umar badhne ki hon. Hamare body ko bharpur matra me, protein, calcium, vitamins and minerals ki jarurat hoti hai. Taki hamari manspesiyan aur haddiyan sahi dhang se badh sake aur hamare body ko maximum growth mil sake.
PROTEIN:-
Protein bones, muscles, tissues, organs, skin and teeth ko badhne aur maintain karne me help karta hai. Protein me amino acids paya jata hai jiske karan hamare body ke manspesiyan, haddiyon aur jodo ko badhne ke liye jaruri tissue banata hai. Protein ki kami hone par insan dubla-patla, kamzor aur ruki huie height ka sikar ban jata hai. Isliye height badhane ke liye jyada marta me Protein lena behad jaruri hai. Protein lene ke liye ap Eggs, meat, fish, soy beans, chana jaise chize kha sakte hai.
MINERALS:
magnesium, phosphorus, fluoride, iodine, iron and manganese kuch aise minerals hai joh hamare height ko badhne me help karta hai.
Inme se joh sabse jaruri mineral hai who hai Calcium yah hamare haddiyon aur unke jodo ko badhne aur majhbooti dene me help karta hai. Agar ap apne body me Calcium ki matra banaye rakhna chate hai toh apko Carbonated drinks, jyada namak, jayada mitha, fat and coffee jaise chije kam khani chahiye kyon yah aise chize hai joh body me calcium ko thik se nahi banne dete hai.
Galat aadatein jaise nasha karna, alcohol pina, smoking karna apke body me calcium or hormones ki matra ko kam kar deta hai jiske karan apki haddiyan kamjor aur apki height ko badhne me rukawat dalti hai.
VITAMINS:
Vitamin D bhi ek mahtwapurn vitamin hai joh hamare haddiyon ko majhbooti pradan karne ke sath-sath calcium ko body me banaye rakhta hai. Vitamin D ki kami ho jane par haddiyon ki growth thik se nahi ho pati hai aur haddiyan bhi kamjor ho jati hai.
Kuch aur bhi aise vitamins hai joh hamare body growth ke liye behad jaruri hai jaise Vitamin A, B1, B2, C and riboflavin yah sabhi vitamins insan ke body ko sahi dhang se badhne me help karta hai. In sabhi vitamins ko pane ke rozana apko fruits and vegetables khana chahiye.
Toh chaliye jante hai ki apko apne diet me kya-kya lena chahiye jisse apki height or body growth tezi se ho sake.
1. MILK:-
Jaisa ki mene apko upar bataya hai ki calcium haddiyon ki growth ke liye ek important vitamin hai aur dudh se hame dher sara calcium milta hai. Dudh pine se hame vitamin A bhi milta hai joh calcium ko body me banaye rakhne me help karti hai. Dudh me protein bhi khub paya jata hai joh hamare body me naye cells ka nirman karta hai aur hame hast pust banaye rakhta hai. In sab chijo se hame yah pata chalta hai ki dudh pina sehat aur height bahdahne ke liye bheda jaruri hai isliye hame daily kam se kam 1 ya 2 glass dudh jarur pina chahiye.
2. DAIRY PRODUCTS:-
Yani dudh se bani huie chije jaise paneer, cheese, dahi, malaie aur yoghurt jaise chije khane se hame bhot fyda milta hai. Yah dukh pine ke barabar hi hai joh log dudh pina pasand nahi karte wah in sab chijo ka sevan kar sakte hai.
3. FRUITS AND VEGETABLES:
Jaisa ki mene apko pahle hi kaha hai ki Vitamin A calcium ko body me banaye rakhne me help karta hai. Isliye hume aise fhaal aur shabjiyan khani chahiye jisme vitamin a ki matra jyada paie jati hon. Fruits me hame angur, papita, aam aur tarbuj (watermelon) jaise fruits khani chahiye inme vitam A jyada paya jata hai. Vegetables me hame gajar, matar, kaddu, palak, gobi jaise sabjiyan khani chahiye in sabhi sabjiyon me vitamin A ki matra jyada payi jati hai.
4. CHICKEN:
Chicken me kisi bhi dusre khane se jayada protein paya jata hai aur jaisa ki ham jante hi hai protein body ke growth ke liye ek mahtwapurn chij hai. Isliye hafte me 2 se 3 baar chicken jarur khana chahiye.
5. MUTTON:
Mutton me chicken ki tarah dher sara protein paya jata hai, lakin isme fat bhi bhot hota hai. Joh log pahle se hi mote hai ya fir fat kam khana pasand karte hai wah mutton ki wajh chicken ka hi sevan kare.
6. EGGS:
Anda height badhane me bhot labhkari hai, kyon ki ande me dher sara protein paya jata hai lakin isme riboflavin naam ka tatwa paya jata hai joh height ko jaldi badhne me help karta hai isliye apko daily kam se kam 3 se 4 anda jarur khana chahiye. Ande ka safed wala hissa hi khaye andar wale pile hisse me fat hota hai joh ki apko nuksan poucha sakta hai.
7. SOYBEANS:
Agar ham vegiterian khane ki baat kare toh soybeans me sabse jayada protein paya jata hai. Soybeans se milne wale protein se haddiyon aur muscles ki growth acchi hoti hai. Isliye height increase karne ke liye rozana hame 50 grams soybeans toh jarur khana chahiye.
Toh dosto upar bataye gaye sabhi tarah ke foods me kuch na kuch vitamins and minerals hame jarur milta hai isliye kosis kare ki ape k niyamit aur santulit bhojan kare aur inhe apne khane me shamil kare taki apki height teji se badh sake.