Hathi Ke Bare Me Jankari- Joh Kar Denge Apko Hairaan
Dosto aj mai apko hathi ke bare me jankari dena chahta hun jise padh kar ho jayenge ap hairan, waise to India me hathi ko puja jata hai Ganesh ji ke rup me, lakin ap yakin nahi karenge ki hathi sach me bhot hi buddhiman janwar hai, toh chaliye age padhte hai hathi maharaj ke bare me.
Prajati (Species)
1. Puri duniya me bus hathi ki do hi prajatiyan (species) payi jati hai , pehla hai African Hathi or dusra hai Asian hathi.
2. Hathi maidaan me paya jane wala sabse bara or bhari janwar hai.
Sunne Ki Shhamta
3. Hathi apne sundh se kuch khas prakar ki awaaz nikalte hai, jise dusre hathi 8 kilo meters yani 5 miles door se bhi sun sakte hai.
Weight
4. Hathi ka average weight lagbhag 6,000 kg hota hai, waise duniya ka sabse bara hathi jiska weight tha 24,000 kg or uska height 13 feet tha.
Elephant Skin
5. Kya ap jante hai hum insano ki tarah hathi ki chamri bhi tez dhoop me jal jati hai, isliye hathi humesha apne upar kichad or mitte ka lep laga lete hai taki wah tez dhoop se bach sake.
Elephant Death Rate
6. Lagbhag har roz 100 hathiyon ko unke keemti daant ke liye maar diya jata hai, isse din pe din hathiyon ki sankhya kam hoti ja rahi hai.
African Hathi
7. African hathi Asian hathi ke mukable bade hote hai or unke sunghne ki sakti sabhi janwaro se jayada hoti hai.
8. Kya ap jante hai hathi ke bhari bharkam sharir hone ke bawjood bhi wah pani me nahi dubte bakli hathi acche tairak yani swimmer hote hai.
9. Waise toh hathi kisi se bhi nahi darte lakin chuha, makhiyo or chiti se wah bhot darte hai.
10. Insan ko chor kar is dharti me hathi me hi thodee (Chin) paya jata hai.
11. Ek hathi din me lagbhagh 2 se 3 ghante hi sote hai kyon ki unhe din bhar me bhot khana chaiye hota hai isliye har samay who kuch na kuch khate rehte hai.
12. Ek hathi ko din bhar me lagbhag 300 kg kahan or 160 litre pani ki jarurat hoti hai.
Hathi Ke Bare Me Jankari – most Interesting facts about elephants
13. Ek African hathi ke dant bhot bhari ho sakte hai lagbhag 200 kg.
14. African elephant humare bole gaye bhasa (language),insano ka ling (Gender) yani ladka hai ya ladki aur insano se hone wale khatre ko aasani se bhap lete hai.
15. Ek hathnii lagbhag 2 saal tak garbh abasta me rahti hai, baccha janne ke hisab se yah bhot lamba samay hai.
16. Hathi 15 kilometer door se hi pani ko sungh sakte hai, or pani kaha mil sakta hai uska pata laga sakte hai.
17. Agar kahi barsaat hone wali ho ya ho rahi ho toh hathi uska pata 160 km door se hi kar sakte hai.
18. Dharti me paye jane wale sabhi janwaro me se hathi ka brain sabse bara or bhari hota hai wah lagbhag 5kg ka hota hai.
19. Ek chuse ka sperm (sukranu) hathi ke sperm se bara hota hai.
20. Hathi or kutta do aise janwar hai joh humare dwara ungli se issahra (Finger pointing) kiye jane par samjh jate hai.
21. Chimpanzee or hathi do aise janwar hai joh apno ke marne ke baad shok manate hai or unke liye rote bhi hai.
22. Hathi bhot samajhdaar janwar hote hai aksar dekha gaya hai wah marte hue insaan ko bachane ke liye unke pas chale aate hai.
23. Ek hathi k brain me insaan ke mukalbe 3 guna jayada kosikaye hoti hai lakin pata nahi fir bhi who humari tarah buddhiman kyon nahi hai?
24. Ek bayask Asian elephant apne sundh me 8 litre tak pani ko rakh sakta hai.
Toh dosto Hathi Ke Bare Me Jankari apko kaisa laga hume comment box me jarur bataye. Agar ap hathi ke bare me kuch jante hai toh kripya hume bhi share kare.
Agar apko humara ye post pasand aya ho toh ise Goole plus , Facebook or Twitter me apne doston ke sath jarur share kare taki wah bhi hathi ke bare me jankari le sake.