Close

Domain Name Kya Hai Aur Domain Kaha Se Kharide

Domain name kya hai

WHAT IS DOMAIN NAME AND HOW TO BUY DOMAIN FOR YOUR BLOG

Domain name kya hai? Aj kal sabhi website banana chahte hai. Lakin website banane se pehle hume apne website ka naam rakhna hota hai, usi naam ko hum domain name kehte hai. For example Google.com ek domain hai or jaise mere website ka naam hinglishblog.com hai. Dosto aj me apko domain name ke bare me puri jankari dunga or yeh bhi bataunga ki ap accha or sasta domain kaha se le sakte hai.

Dosto internet ki duniya I.P address or server pe chalta hai. Lakin duniyan bhar me lakho hazaro I.P address or server hai.  For example duniya bhar me lakho log rehte hai or wah log alag – alag sehro me rehte hai, toh hum unhe kaise pehchanenge jawab simple hai- unke naam se. Usi tarah domain name bhi website ka naam hota hai.

Kya apko pata hai is duniya me har ek domain name unique hota hai suppose mera domain name hai hinglishblog.com to ap is domain ko nahi kharid sakte kyon ki yah domain name mene pehle se hi register kar liya hai.

KYA DOMAIN NAME ME FARK HOTA HAI?

Han domain name me bhi fark hota hai. Aur who kuch is trah hai:

TOP LEVEL DOMAIN:

Top level domains
  • .com
  • .edu
  • .gov
  • .net
  • .org

Top level domains ki value jayada hoti hai, kyon ki jyadatar log  inhi domain ko kharidna pasand karte hai or google bhi top level domains ko jada value karta hai.

Waise toh website ke liye .com domain sabse best rehata hai. Agar apko .com na mile toh ap .net ya fir .org ko bhi register kar sakte hai.

Kuch badi sansthaye jaise government se jude sites .GOV domain use karte hai. Or education se related sites .EDU. sabhi ke liye aise domains lena assan nahi hota kyon ki yah bhot mahenga milta hai-5 hazar  RS se laker 50 hazar Rs tak.

COUNTRY LEVEL DOMAIN:
  • .in – for India
  • .jp – Japan
  • .fr – france
  • .us- United States
Country level domain

Aise sabhi countries ke liye domain name available hai. For example  mere site ka naam hinglishblog.com hai, toh  mere domain ka extension .com hua  iska matlab mera domain India ke  liye register kiya gaya hai.

Agar apko kisi bhi specific country ke liye website banana hai toh  ap country level domain use kar sakte hai. Par ek baat ka dhayn rakhe .COM sabse best hai or ye sabhi countries ke liye hota hai.

THIRD LEVEL DOMAIN:
  • .co.in
  • .co.uk
  • .us.com

Apne Website ke liye domain name Kaise Chune:

Waise to ap apne website ka naam kuch bhi rakh sakte hai. lakin website  ke liye domain kharidne se pehle  In bato ka dhayn jarur rakhe:

Website kam naam short rakhne ki kosis kare taki logo ko yaad rahe.

Domain me hyphen (-) ya numbers(123) ka use na kare toh hi accha hai.

Humesha top level domain hi kharide , agar ap hindi blogging karna chahte hai toh .in domain bhi le sakte hai.

Domain kaha se kharide?

Jaha se hum domian kharidte hai us site ko Domian Registrar  bhi kaha jata hai. Waise to hazaro domain registrar sites hai. Lakin  apke liye mene niche list banaie hai jis me se ap assani se apna domian register kar sakte hai.

1- godaddy

2- bigrock

3-namecheap

4-easyDNS

5-1and1

6-domain india

Upar diye gaye kisi bhi website  me click karke ap apna domian register kar sakte hai. Agar ap pehli baar domain kharid rahe ho toh apko godaddy se domain register karna chahiye. kyon ki yaha par apko 125rs me hi domain mil jayega, Joh ki behad sasta hai.

Toh chaliye godaddy se 125rs ka Doimain kaise kharide uske bare me jante hai:-

Step 1: Sabse pehle Google.co.in me jakar “domain register”  Search kare.

Step 2: GoDaddy official site Rs125 Limited Time .COM wale pe click kare. Uske baad ek New window khulega.

Step 3: Apko apne website ka joh bhi naam rakhna hai us khali box me type kare.

Step 4: domain name type karne ke baad use search kare. Uske baad ek new window khulega.

Step 5: Agar apka domian name available hai toh use select kare.

Step 6: Domain select ho jane ke baad, Continue To Cart Par Click Kare.

Step 7: Continue to cart pe click karne ke baad, ek or new window khulega. Usme apko 1 year ka option select karna hai.

Step 8: 1 Year ka option select ho jane ke baad, ap Proceed to Checkout pe click kare.

Step 9: Uske baad or ek new window khulega, jisme apko New User me jakar GoDaddy me apna account kholna hoga.

Account kholne ke liye apko apna details bharna padega jaise ki:

  • Name
  • email address
  • Password – Tunku#1234 – kuch is tarah ka password select kare jisme ek capital letter ho, kuch numbers ho aur kuch symbols bhi ho. Agar ap aisa nahi karenge toh godaddy apka password accept nahi karega.
  • Home address, country, state, city, zip code etc.

Step 10: Jab GoDaddy me apka account creat ho jaye, uske baad apko apne Credit Card ya fir Debit Card se paise bhar kar Domin Kharidna hoga.

Dosto waise to .COM domain 600 Rs se lekar 800 rs ka milta hai. lakin ap mere bataye hue tarike se apna domian saste me kharid sakte hai.

Aagar apko Domain kharidne me koi problem ho rahi hai. Toh ap hume niche comment box me jarur bataye. Hum apki help karne ki puri kosis karenge.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top