CARTOON AUR ANIMATION VIDEO BANANE KE LIYE 10 BEST SOFTWARE
Ek time aisa tha, jab bacche apne notebooks par cartoon banaya karte the. Aur unke maa-baap unpar gussa karte the . lakin Time aur Technology badalne ke sath-sath cartoon making ek profession ban gaya hai.
Cartoon making, aj ek bada business ban chuka hai. Ab log ghar baithe baithe cartoon bana kar online paise kama rahe hai.
Agar ap soch rahe hai hai ki, ghar baithe-baithe cartoon kaise banate hai. Toh aj me apko kuch aise software or sites bataunga jisme ap aasani se cartoon animation bana sakte ho.
Halaki isme kuch software paid hai aur kuch free. Toh chaliye jante hai woh software kon se hai aur unki khasiyat kya hai.
1. Movavi:
Joh log apna khud ka cartoon banana cahte hai. Movavi unke liye ek best software hai.
Is software me stop motion ki technique use hota hai, jisse koi bhi pehli baar me hi apna khud ka cartoon bana skata hai.
Isme kaam karna bhot hi simple hai, apko bus is software me kuch pictures, files aur audio track add karna hota hai aur apka cartoon animation video ready ho jata hai.
2. Cartoon-Generator:
Cartoon- Generator bhot easy to use tool hai. Isme apko kuch pictures add karne hote hai. Aur uske baad ap un pictures me animation effects daal sakte hon. Pictures edit ho jane ke baad aisa lagta hai jaise cartoon aap ne khud ke hatho se hi draw kiya hon.
Yah software apke sare images ko batch me convert karke ek video file bana deta hai. Joh log pehli baar cartoon bana rahe hai. Wah bhi badi aasani se isme kaam kar sakte hai. Sabse acchi baat yah ki, ap ise free me download kar sakte hon.
3. Inkscape:
Inkscape ek free cartoon maker hai. Isme ap cartoon animation banana ke sath-sath logo, artwork and designs bana sakte hon. Aur yah sabhi platform me kaam karta hai windows, mac operating system etc.
Isme ap bitmap images ko vector images me convert kar skate hon. Iske khas baat yah hai ki, ye Adobe Illustrator ki tarah kam karta hai islye ap isme animation design banane ke sath-sath website ke liye design bhi bana skate hon.
4. Artoonix:
Artoonix ek powerful software hai. Isme ap catoon creat kar sakte hon. Agar apka mind bhot kalpana sheel or creative hai toh. Is software ke help se apne choice ka unique cartoon character create kar sakte hon.
Is software me multitasking sound editor ata hai, jisme apna khud ka sound ya fir dusre sound ko edit karke khud ka unique sound bana sakte hon.
5. Cambridge English Online:
Yah ek iasa resource hai jisme ap bade maze se cartoon bana sakte hon. Apko bus ek doh click karne hote hai or apka khud ka cartoon banna chalu ho jata hai. Is dauraan apko kuch bi download karne ki jarurat nahi hoti hai.
Toh ap is online cartoon making software ko try kare. Aur apke dwara banye cartoons ko online share kare.
6. Scratch:
Yah ek open source program hai, joh MIT company ke dawara banaya gaya hai. Isliye koi bhi ise use kar sakta hai. Yeh har ek platform me kaam karta hai. Isme ap simple or basic cartoon aasani se create kar sakte hon.
Yah ek free software hai jisme ap cartoon animation ke sath-sath games bhi bana sakte hon. Aur apne project ko dusre users ke sath share bhi kar sakte hon.
7. Web Cartoon Maker:
Yah software khas kar animation lovers ke liye hi banya gaya hai. Isme ap apna khud ka cartoon bana sakte ho aur design bhi de skate hon jaise ki, cartoon ke hairs, face, body type, eye color etc.
Yah ek free software hai aur isme apko kaam karne me maza bhi ata hai. Iske khas baat yah hai ki ap isme apne cartoon character ke liye accessories bhi add kar sakte hon.
8. Cartoon Photo:
Is cartoon maker me, koi bhi photo ya picture add karke use cartoon me badla ja sakta hai. Yaha taka ki ap khud ke pic ko add karke use cartoon me badal sakte hon or usme kai trah ke emotions add kar sakte hon jaise happiness, smile, sadness, angry etc.
Is software ko use karne me bada maza ata hai, aur ise use karna ek dum simple hai.
9. Toondoo:
Toondoo bhot hi popular cartoon maker website hai, isme ap bhot tezi se cartoon bana sakte hon. Yah online source hai, joh baccho ko bhot pasand ata hai. Isme bacche apna dimag laga kar khud ka unique cartoon banate hai.
Kabhi-kabhi ise website me cartoon content bhi hota hai, jisme ap bhi participate kar sakte hon.
10. Cartoonize.net:
Is software ko use karna bhot hi simple hai. Isme ap pictures and photos ko add karke unhe cartoon me badal sakte hon. Iski khas baat yah hai ki, isme apko bhot sare options milte hai jisse ap apne cartoon ko koi bhi effects de sakte hon.
Yah software ek dam easy to use hai, isme dher sare effects ate hai, jise ap click karke seclet kar sakte hon.
Toh dosto, yah hai 10 best cartoon and animation maker software. Inme se ap koi bhi software chun kar use kare. Aur apne cartoon making hobby ko professional hobby me badal dijiye.