Amitabh Bachchan Biography Hindi Language (bhasha) Main
Aaj hum Amitabh Bachchan biography (jivani) kain bare main puri jankari dene ja rahe hai.Ummid hai apko is article se unke bare me jyada janne ko milega.
Bollywood Actor Amitabh Bachchan ka hindi cinema me bhot hi anokha role hai.Wah apne action kain liye jane jate hai, unki bhot famous action movie jaise ki: Zanjeer, Joh kin India mein Super Hit Movie mani gayi hai.
Unke jivan par ek chota sa prakash dalte hai
Amitabh Bachchan ka janm, Bharat kain Allahabad rajya me 11 October 1942 me hua tha.
Unke career shuruwat 1969 mein, saat hindustaanee se hua. Aur 1972 mein Zanjeer movie se unko bhot hi jayda lok priyata mili, isi karan unhe bollywood me action super star ka darja mila.
1980s, mein unhone Indian parliament (bhaarateey sansad) seat aayojit kiya. 1990s, mein unhone khud ka production house banaya.
1997 mein unhone Mrityudaata namak film se fir actiing ki shuruwat kin. 2002, mein uhone T.V. show me kadam rakha jiske naam tha kon banega Crore pati.
Praarambhik Jeevan (Early Life)
Amitabh Bachchan ka pura naam: Amitabh harivansh bachchan hai, jaisa ki humne pehle hin kaha hai, wah 11 October 1942 mein paida hue the. Agar hum 1942 ki baat kare toh bhaarat uss samay mein ek british upanivesh tha.
Yani kin bhaarat kon svatantrata praapt karne kein kliye abhi bhi paanch saal baki the. Bachchan ke pita prasiddh hindi kavi the or unka naam Dr. Harivansh Rai Bachchan tha.
Aur unke maata ka naam Tejee Bachchan tha joh ki sikh sumudaie se belong karti thi. Amitabh apne ghar ke sabse bare bete hai or unke chote bhai ka naam Ajitabh tha.
Amitabh sabse pahle Sherwood collage boarding school me gaye, uske baad wah, Delhi University mein higher studies ke liye gaye.
Jaha par unhone Bachelor of Arts ki degree partp ki, apne degree lene ke kuch saal baad wah, Calcutta
Chale gaye jaha par unhone maal ka len-den karne wale broker (dallal) ban kar kam kiya. Us wakt Amitabh ji apne life me kuch badlaw cahte the.
Isliye unhone Bombay jane kaa faisla liya, taki wah film industries me apna hath azma sake.
Agar hum us wakt kein baat kare toh, tabh bhaarat aazad ho chukka tha, aur hindi cinema apne joro shoro par thi.
Unke Pehle ka Film Carrer- Amitabh Bachchan biography
1969 mein unko pehla film debut mila, aur us movie ka naam tha Saat Hindustani. Us film ne box office me accha kahasa naam or paisa banya aur Amitahb ji ne bhot sare famous directors ka dhyan apni traf akarshiit kiya.
Bhut hi jaldi unko bare filmon kein offers ane lage. 1970s, kein shuruwati dour me unhone acchi khasi popularity hasil kar li thi.
Kyon ki unhe ab “angry young man” (akramak jaawan) kein roop me log pasand karne lage aur uski ek hin wjah thi kin uhone lagatar successful super hit movies kin, jinke naam kuch is prakar hai:
Laawaris, Coolie, Naseeb, Silsila, shaarabi and Jadugar in sabhi filmo me unh eek naye uchai tak puhuca diya tha, jisme se Zanjeer movie ne unke carrer mein chand-chand laga diya.
Log ab ek lambe choure action super star ko filmo me dekhna chahate the, jinka naam amitab bachchan tha .
Is daur mein unhe bare bare directors, kein sath kaam karne ka mouka mila aur naam kuch is prakar hai:
Prakash Mehra, Unke under bachchan ji ne bhot hi khas aur famous movies kiye jaise kin:
Trishul, Sholay, and Chashme Buddoor. Aur toh aur unko kuch movies mein apne role kein sath-sath unhe gane ka mouka bhi mila.
Politics Aur Business (rajniti aur Byapar)
1982, mein bachchan ji ko ek film karte samay bhot serious accident hua (ghatak chot lagi), Lakho fans and logo ne us time unke liye prayer (duaayein ki) taki wah jaldi se thik ho jaye.
Kuch usi karan Amitabh ji ne 1984,mein apne carrer path kon change kiya or Unhone politics me kadam rakha.
Unki lokpriyata (Stardom) ne unhe sansad me seat dilaya, lakin unka political carrer jaya dino tak nahi chal paya, Kyon kein logo kein unchahi bichar dhara,aur galat soch (controversy) unhe ghere rehti thi.
Jiske chalet unka political carrer khatam ho gaya.
Fir Sein Acting kee Shuruwaat:
1977, mein unhone apne main carrer ko fir se follow kiya , tab unhone Mrityudaata movie banaie thi, joh ki ABCL kein dwara Produce kiya gaya tha.
2000 saal mein unhone television T.V. ki duniya mein kadam raakha or unka show bhot famous bhi hua jiska naam tha Kon Banega Crore Pati.
Halaki 1990, me unhe mushkilo ka shaman karna pada tha par 2000 saal me unhe fir se apna stardom mil gaya wah fir se, behat lokpriye ban gaye .
Us douran unhe kaie Filmfare Aur In ternational Film awards bhi mila , kyon ki unhone us wakt kuch super hit movies banaye the jiska naam kuch is prakar hai:
Baghbaan (2003), Khakee (2004), aur Paa (2009).
Unka Niji Jivan (Personal life ) – Amitabh Bachchan biography
Amitabh ji ne Jaya Bhaduri se 1973 mein shadi kiya, aur unke Doh Bacche, ek ladka aur ek ladki bhi hua.
Jinke naam kuch is prakar hai : Abhishek Bachchan aur Shweta bachchan.
Shweta ji ne ek bare karobari se shadi kiya jinka naam Nikhil Nanda hai, aur dada ji bhi film director the jinka naam (Raj Kapoor) tha.
Abhishek bachchan bhi ek film actor hai, aur unhone bhi ek khubsurat abhinayika se shadi kiya, jinka naam Aishwarya Rai hai.
Amitabh ji ek peeta aur actor hone kein nate apna kafi samay parivaar or acche kamo mein lagaya.
Aur 2003 mein unko United Nations Children’s Fund (UNICEF) kein tarf se ambassador ghosit kiya jisse wah baccho jinhe help ki jarurat hai unki shayata kar sake.
Ummid hai apko Amitabh Bachchan ji Ki biography Joh ki hindi mein mene likhne ki kosis ki hai, Pasand aie hogi agar apko isme kuch galat lagta hai ya ap kuch sujhaaw dena cahte hai toh Hume contact kare.
Kyon ki hum galat ka prachar ya prasaar nahi karna chate.
Agar apko ye post pasand aya hai toh ise apne friend kein sath facebook, twiter ya fir google plus me jarur share kare.