Alexa Me Apne Blog Ko Submit Kaise Kare
Hum sabhi bloggers apne site ko, Google Search Console me apna site verify karte hai. Thik usi tarah Alexa me apne site ko verify karne se fyda hota hai.
Alexa Kya Hai?
Alexa, un top websites me se ek hai joh, duniya bhar ke sites ka rank batata hai. Jaise ki Global Rank, Country based rank, search term query.
Jaisa ki hum sabhi jante hai, kisi bhi website ki popularity check karne ke liye hum us website ka Alexa rank dekhte hai.
Joh site jitna popular hoga, uska Alexa rank bhi utna hi kam hota hai.
Waise to Alexa har naye domain ko apne ap hi verify kar leta hai. Lakin apne website ko khud Alexa me summit or verify karne se jayda fayda hota hai. Kyon ki ap apne site ka pura details apne Alexa profile me add kar sakte hon.
Toh Chaliye Jante Hai Alexa Me Account Create Kaise Kare : –
Apne blog or website ko Alexa me submit karne ke liye, niche diye gaye step ko follow kare:
- Sabse pehle ap, Alexa.com me jake create new account pe click kare. Uske baad apna email Id daal ke Create me click kare.
- Uske baad Alexa, apke mail id pe verification mail bhejega. Us mail ko open karke, verification link pe click kare, taki apka email id verify ho sake.
- Verification link me click karne ke baad, ek new window open hoga jaha par apko apna password set karna hai.
- Password set karne ke baad, Alexa apko redirect karke dashboard me leke jayega. Iska matlab apka Alexa account create ho chuka hai.
Alexa Me Apne Site Ko Kaise Verify Kare:
Alexa me account ban jane ke baad, is link me jaye http://www.alexa.com/siteinfo fir apna domain name search kare.
Domain search ho jane ke baad, certify your site metric’s pe click kare.
Certify Your Site Metrics
Certified Site Metrics ke kya fayde hai:
Alexa apko ek verification code deta hai jise site me lagana hota hai. Aisa karne se alexa apke site se direct data collect kar pata hai or apko ekdum accurate jankari milta hai jaise ki.
- Apko ek dum accurate Alexa ranks show hota hai.
- Alexa me apko ek private dashboard milta hai, jisme ap apne site ke bare me jayada detail me jankari le sakte hai.
Ab plans and pricing me click kare . Yaha par apko doh chije karni hongi – ek apna site ko claim karna or dusra Alexa ka koi bhi plan choose karna hoga. (ap yaha par free plan bhi chun sakte hai).
Apne website ko claim karte wakt apko 3 option milega:
- Method 1 Upload an Alexa verification file to your site’s root directory
- Method 2 Add an Alexa Verification ID to your homepage
- Method 3 Certify your site’s metrics.
Yaha par jo method 3 hai who sirf Alexa pro plan me hi milega. Yani ki apko ye plan kharidna padega.
Normally ap free plan hi use kare, jab apki site kisi acche level pe chale jaye tab ap in future ise paid plan me move kar sakte hai usme apko jayada benefits milega.
Update: Alexa ne May 2016 se wesite ko free claim karna band kar diya hai. agar apko claim karna hai toh apko koi bhi premium plan use karna padega.
Steps For Claiming Site In Alexa:
Apne website ko alexa me claim karne ke liye, ap verification code ko apne site ke root folder me upload kar sakte hai. Ya fir meta tag ko apne site ke Header section me laga sakte hai.
Me personally method 2 pasand karta hun, kyon ki woh jayada aasan hai.
Meta tag example: <meta name=”alexaVerifyID” content=”XXXXXXXXXXXXXXX”>
Alexa me apne site ko claim karne ke liye bhot se tarike hai, ap in me se koi bhi trika use kar sakte hon.
Ise Bhi Jarur padhe: kon se webiste me kitna traffic hai kaise pata kare
Adding Meta Tag In Header.php:
Apne website ke header.php me jake, meta code ko ap <Head> ke baad or <Body> se pahle laga skate hon. Fir ap Alexa me jake verify my id pe click karo.
Yoast WordPress SEO Plugin:
Agar ap yost seo use karte hai toh, dashboard me webmaster tools open karo, fir wha par apko “Alexa Verification ID” me apna meta tag paste karke save settings karna hai. Uske baad ap Alexa me jake verify my id pe click karo.
All In One SEO Pack Plugin:
Agar ap pane website me All In One SEO Pack Plugin use karte ho toh, “Additional Home Readers” me jake apna code paste kar do, fir alexa me jake verify karo.
Insert Headers And Footers Plugin:
Ap is plugin ko bhi use kar sakte ho, wordpress dashboard me jake Add new plugin pe click karo, fir waha par is plugin ko search karke, activate karo.
Activate ho jane ke baad settings me apko header code ka section milega, wha jakar apna code pste kar doh or fir save settings karne ke baa dap alexa me jake verify kar sakte hon.