Close

KYA HAI AAROGYA SETU APP ? AUR KYA HAI ISKE FAYDE ?

Aarogya setu

Dosto kya aapko pta hai ki Aarogya Setu App kya hai aur iske importance kya hai hamari life me. Yeh app kaise hame present me chal rahi is bhayanak mahamari se bachayega.

Kya hai Aarogya setu aur yeh kaise kam karta hai. Agar aapko eske baare me nahi pta to aaj ye article padhkr apko pta chal jayega.To aaeye jaante hai Aarogya Setu app ke baare me -:

Aaroga setu ek aisa mobile application hai jise bharat sarkar ( indian government dwara ( Coronavorus (Covid-19) ko rokne ke liye bnaya gya hai. Is app ko bnane ka government ka main maksad ye hai ki Ministry of Health and Fmily Filmfare dwara taiyar intitives ki jaankari specially covid-19 ki jaankari logo tak pahuchya ja sake.

Aarogya setu app indian government drawa bnaya gya ek health app hai, jiske dwara logo ko coronavirus ke symtoms, aur unse bachne ki sabhi jaankariya di gyi hai. Yah app ek privacy first design hai aur present me available hai.

AAROGYA SETU KITNI BHASHAO ME AVAILABLE HAI – :

Aarogya setu app 11 bhashao me bani hai jisme Hindi, English, Urdu, Gujrati, Marathi, Telgu, Panjabi, Odiya, Bangali,Kannad, Malyalam. Sath hi anya bhashao ko bhi shamil kiya ja rha hai.

Aarogya setu app itni sari bhashao me isliye bnayi ja rhi hai kyuki bharat me anek prakar ki bhashaye boli jati hai. Isliye sabhi desh washi apni -apni bhasha me covid 19 ki jaankari prapt kar sake. Aarogya setu dono hi platform me available hai- android aur ios.

AAROGYA SETU KE FAYDE –

1- Yah app bluethooth based technology par kam karti hai. Wahi yah risk ya khatre ko nirdharit karti hai, user’s location ke hisab se.

2- Wahi risk factor bhi aadharit hota hai us data ke upar jo bhi available hota hai us particular me.

3- Isase ye user ko inform karta hai covid-19 positive cases iske aas-pas se gujrata hai to 6-feet proxomity ke bhitar hi sahi tarike se lgane me saksham hai.

4-Yah app recomend karta hai kafi sare measure users ko jaise ki self assessment test, social distancing aur covid-19 ke samay me kya karna chahie aur kya nahi.

5- PMO ke statement ke anusar yah app apko e-pass ki subhidha bhi uplabdha karata hai jab aap ek sthan se dusre sthan par jaate hai.

6- Yadi kisi user ki bahut jyada tabiyat kharab ho to yah app salah deta hai apne najdiki testing centre me jacha kara le aur sath hi Toll-free no 1075 par turant call karne ki salah deta hai.

AAROGYA SETU APP KAISE KAM KARTA HAI -:

Aarogya setu aap ek self-testing tool hai jise user ko apne mobile me download karna hota hai.

Fir aapko apne mobile ke bluetooth ka switch on karna hoga aur location ko bhi on karna hoga. Fir aapko location sharing ko bhi always yaani on karna hoga, jise aap bad me chahe to band kar sakte hai.

Aarogya Setu app launch ke 3 din ke bad hi lagbhag 5 million log download kar chuke hai aur abhi tak lagbhag 10 million se bhi jyada log aarogya setu aap download kar chuke hai.

To dosto umeed karte hai ki aapko ye Aarogya Setu app ke baare me achha lge aur eske sath hi is app ko download karke Covid-19 ki sari jaankari aapko is app se mil jaegi aur is app me diye gye sabhi instruction ko follow bhi karke khud aur apne pariwar ko, apne aas-pados ke logo ko iski jaankari dekr unhe bhi is mahamari se bachne ki salah de.

Social distancing ka palan karte hue apne gharo me rahe, swasth rahe aur apne pariwar ke sath mast rahe.

Aarogya setu app ya covid-19 se related koi bhi jaankari ke liye aap hme comment me puch kar sakte hai.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top