Close

7 Month Pregnancy Diet in Hindi – Kya Khaye aur Kya Nahi

7th month pregnancy diet

Jaisa ki aapka 7th month suru ho chuka hai aur esake sath hi aapki khushiyaa aur bhi jyada badh gyi hai. Aise samay me aapko aur bhi jyada khush rahne ki jarurat hoti hai. Is charan ke dauran hone waale kuch lakshan hai unko dur karne ka tarika achha tarika sahee prakar ke khaddy pdaarth hai.

Is dauran aap jo bhi khayengi uska sidhee asar aapke bachhe par hoga.Aapko aise khadya padaarth lene chahie jo aapko daily 450 kailori de.

7th Month Pregnancy Diet Kya-Kya Khana Chahie –:

1- Iron yukat aahar – Prsav ke dauran raaktsraav bhi hota hai jisase sarir me khoon ki kami ho jati hai jise Anaemia kahate hai. To khoon ki kami se bachne ke iron yukat aahar lena chahie lagbhag 27 miligram iron apne aahar me lena chahie. Palak, hari sabjiya, beens , chawal dudh bhi daily apne aahar me shamil karna chahie.

Iron rich foods

2- Calcium yukat aahar – Calcium bhi bahut jaruri poshak tatwa hai jise apne daily ke aahar me shamil karna aaniwarya hai kyuki is charan aapke bachhe ki haddiyo ka nirman bhi ho rha hota hai to aapko kamkam daily 1000 miligram apne diet me lena chahie. Dudh, dahi, aur dudh se bani cheeje, machhali, egg, aur daliya lena chahie.

calcium rich foods

3- Magnesium yukat aahar – Magnesium aapke dawara liye gye calcium ko aawshoshit karega aur pair ki aithan se bhi raahat dega aur manspeshiyo ko aaram karne me madad krega. Samay se pahle hone waale prasav ko bhi rokta hai. Aapko daily 350-400 miligram magnesium apne aahar me shamil karna chahie. Baadam, jau, aur kaddu ke beej esake achhe srot hai.

magnecium rich foods

4- Vitamin C yukat aahar – Vitamin c ko bhi apne aahar me shami karna chahie. Esame tarbooj, nimboo, santara aur hari mirch ka bhi sewan karna chahie.

vitamins C

5- Fruits aur vegetables – Pregnancy ke es charan me samay samay par falo ka bhi sewan jaruri hai,sath hi faalo ka juice bhi le sakte hai. Taaji aur hari sabjiyo ko bhi apne aahar me shamil karna chahie.

fruits and vegetables

6- Fiber yukat aahar – Pregnancy me kabj hona aam baat hota hai. Esase bachne ke liye aapko taaja aur sukhe saboot faliyo ka bhi sewan karna chahie. Aur bharpoor matra me paani ya anya taral padarth bhi pina chahie.

7th Month Pregnancy Diet Kya- Kya Nahi Khana Chahie-

1- Oily aur maasaledaar bhojan – Is daur me aapko jyada masale aur tali- bhuni hue cheeje khane se bachana chahie. Aur raat ko dinner me hamesha halka bhojan karna chahie.

Oily aur msaledar bhojan

2- Packed cheejo ke sewan se baache – Packing ya plastic ke dabbo me ki cheeje khane se bachana chahie. Chips, ketchup, sauces in saabhi cheejo ke sewan se bachana chahie.

Packed food hinglishblog

3- Junk food bhi avoid karna chahie – Chawmin, burger, paasta in sabhi junk foods ke sewan se bachana chahie.Isake sathan par healthy aur poshak tatwa se bharpoor bhojan khana chahie.

junk food

4- Caffeine, tobacoo, alcocal – Naam se hi pta hai ki ye sabhi hanikarak padarth hai. Inka sewan na sirf ma ko balki bachhe ki bhi sehat ko nuksaan pahuchata hai.

Alcohal

Santulit aur svasth aahar na sirf aapko balki apke bachhe par bhi aaasar dalta hai.Isliye hamesha achha,taaja bhojan khana chahie. Sath hi halka fulka vyaayam bhi karte rahna chahie jisase saris aur man dono hi swath rahte hai aur aane waale bachhe ka achhi tarah se vikash hota hai.

Hello! My name is Pooja Gupta, I am a professional hindi blogger who likes to write a lot. I like reading books surfing Internet and cooking testy foods.

scroll to top